New Delhi : Markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah ne mangal ko kaha ke Jammu aur Kashmir Hindustan ka ek lazim wo malzoom hissa hai aur Pakistan ke zair-e-qabzah Kashmir ( PoK ) aur Aksai Chin dono hi iska hissa hain.
Lok sabha mein congress leader Adhir Ranjan Choudhry ki janib se talab ki gayi wazahatoon ka jawab dete hue Shah ne kaha ke BJP ke rehnuma POK ko mehfooz bananay ke liye apni jaanen nichhawar karenge.
Aur unhoun ne mazeed kaha ke jab bhi woh Jammu aur Kashmir ka zikar karte hain to Is mein Pakistan aur chain ke zair-e-intizam ilaaqon ko shaamil karte hain.
Amit Shah ne mangal ko Lok sabha mein jammu Kashmir tanzeem no bill paish kiya aur is douran unhoun ne khitaab kiya aur oppostion ke mutalba ka jawab diya. –YTN STAFF