Hyderabad: Shehriat Tarmeemi Qanoon ke khilaaf Hindustan bhar mein ek tufaan barpay hai jis mein khaas kar Jamia Millia Islamia ke talba par police ke zulm ki dastan sab se agay hai kyunkay jis terhan police ne campus mein ghos kar be qasoor talba ko nishana banaya hai is ne engrazeo ke daur ki yaad taaza kar di hai halaank Compus mein dakhla police ke dairay ikhtiyar mein nahi lekin jis terhan ke videos social media par viral hue hain un videos ke tanazur mein police ki kadayi par sawalia nishaan lag chuka hai kyunkay jo police ohdedar talba par lathi charge kar rahay they un mein 1 shakhs jeans aur surkh Tshirt zaib tan kiya hua tha jis ki wajah se police ki karwai shak ke dairay mein aa chuki hai.
Police ne jis terhan Jamia Compus ko nishana banaya is ne kayi ek sawal peda kardiye hain jis par ki siyasi qaideen ne shak o shobahat aur tahaffuzaat ka izhaar kiya hai. Doosri janib itwaar ki raat Compus mein police ki kadayi ke baad Jamia ko 5 January tak band kardiya gaya hai. Compus mein ab dehshat ka mahol qaim ho gaya hai. Raat bhar Jamia Compus mein halchal ka mahol raha aur subah hotay hi kayi talbat ne hostel ko kherbaad kehte hue apne shehroun ki taraf rakhat safar bandhna shuru kar diya. Ali-alsubah Jamia ke darwazoun se sirf talbat hi nahi balkay kuch talba bhi apna samaan aur bag le kar nikaltay hue nazar aeye. Jamia Compus se nikal kar Uttar Pradesh, Madhia Pradesh, Rajisthan jaisi reyastoun mein rehne wali talbat ne media se baat ki aur apne khauf-o-deshon ka izhaar kiya. Ek taliba ne kaha ke hamein dar hai ke kahin phir se tashadud na barpaa ho jaye is liye hostel chode kar ghar ja rahi hain.
Mere ghar walay bhi raat se hi kaafi pareshan hain aur baar baar unka phone aa raha hai. Ek taliba ne media se baat karte hue kaha ke agar hum apne hostel aur library mein hi mehfooz nahi hain to phir kahan jayen. Guzashta roz kuch talba Compus mein chaye pi rahay they jab achanak police ka hamla ho gaya. Unke samnay unke sathiyoun ko police ne buri terhan se petta. Raat mein hungama ki wajah se Jamia Millia Islamia, Okhla Vihar and Jasola Vihar Shaheen Bagh metro ke darwazay band kar diye gay they jis ki wajah se talba-o-tulbat ka wahan se niklana mushkil tha, Aur koi doosri sawari bhi wahan nahi mil rahi thi. Subah jaisay hi mahol kuch behtar huva to talba metro se ya to apne ghar ke liye rawana hotay nazar aeye ya phir mehfooz thikanoun par chalay gay.
Kuch talbat jo daur reyastoun se Jamia mein taleem haasil karne aayi hain aur hostel mein reh rahi hain, unhoun ne Jamia ke qareeb ilaaqoun mein rehne wali apni dostoun ya ahbaab ke gharoun mein panah lena shuru kar diya hai. Saree duniya ne dekha ke kis terhan itwaar ki shab Jamia mein nagamah barpaa huva. talba ka ilzaam hai ke police nah sirf Compus mein daakhil hui aur ladkoon ke sath sath ladkiyon par bhi lathi charge karne lagi, Balkay library mein padh rahay talba o tulbat ke oopar bhi zulm kiya gaya. Kayi video samnay aeye hain jis mein police lathi charge karti hui aur ansoo gas ke golay dalte hui nazar aa rahi hai.
Jamia Millia Islamia ke proctor ne wazeh lafzoun mein kaha hai ke police baghair ijazat campus mein daakhil hui aur talba ko nishana banaya. Jamia ki Vice Chancellor Najma Akhtar ne police ki is karwai par intahi afsos ka izhaar kiya hai aur unhoun ne talba ke sath khade honay ka azm bhi zahir kiya hai. Ek angrezi roznama se baat karte hue Najma Akhtar ne ye bhi kaha ke police ko pehlay Jamia intizamia se campus mein daakhil honay ki ijazat leni chahiye thi, Unhoun ne jo kuch kiya usay durust nahi kaha ja sakta.
Jab se BJP ne Iqtidaar sanbhala hai Hindustan ki jamiyaat aur wahan ka mahol par aman nahi raha kyunkay kabhi Delhi University to kabhi JNU ko nishana banaya gaya to kabhi Hyderabad University ashrar ke nishanay par rahi to kabhi markazi hukoomat ne taleem ke liye mukhtas budget mein 3 hazaar crore ki kami kar di. Taleem ko mulk ki taraqqi aur talba ko mustakbil kaha jata hai lekin shohrat tarmeemi qanoon ke khilaaf par aman muzahira karne walay talba par police ke zareya zulm dhatay hue hukoomat Hindustan ki taraqqi aur mulk ke mustakbil ko tareek bananay ke liye gehan laga rahi hai. –YTN STAFF