New Delhi : Jamaat-e-Islami hind ( JIH ) aur civil society ke ek mushtarqa wafad ne Kashmir ki moujooda sorat-e-haal aur kashmirion par muwasilat ki sahoolat band karanay ke asraat par tashweesh ka izhaar kiya hai. 7 se 10 ocober tak waadi ka doura karne wali team mein S.R. Darapuri (retd. IG, UP Police), Malik Mohtashim Khan (JIH Secretary ), Shweta Verma (women & child rights activist) aur Mujtaba Farooq (Secretary General of the All India Muslim Majis Mushawarat) shaamil they.
Mazkora wafad ne srinagar, Baramulla aur pulwama ka doura kiya aur samaji kaarkunoun, wukla, NGO aur mazhabi tanzeemoun ke numaindoun se mulaqaat ki. JIH ne ek bayan mein kaha ke ”wahan ke log hungami sorat-e-haal mein bhi apne azeezoun se rabta karne se qasar hain. inhen tibbi hungami sorat-e-haal ke liye hospitals mein cal karna mushkil hai. muqami transport sahuliyaat ki Adam dasteyabi ke sabab Dialysis se guzarnay walay mareezon ko pareshani ka saamna karna padha.
Mazkoora wafad ne black out aur is ke asr ki wajah se zehni sahet ke umoor bhi uthaye hain. jis mein badey paemanay par pabandion ke muamlay par bhi roshni daali gayi. unhon ne kaha ke ”public safety act ( PSA ) aur police ki tehweel mein barray khadshat hain. aur hirasat mein liye afraad ki tadaad ke baray mein kisi ke paas bhi sahih jankari nahi hai.
Wazeh ho-ke 5 august ko Article 370 ki mansookhi ke baad se, waadi Kashmir mawaslati tarikhe se guzar rahi hai. telephone land line kholdi gayeen hain aur peer se post paid connecition bhi bahal honay ki umeed hai, lekin internet ki bahali ke liye kuch waqt lageyga, kyunkay hukoomat ko khad shah hai ke Pakistan isko afwahoun ko phelanay aur tanao paeda karne ke liye istemaal karsakta hai. –YTN STAFF