India

Jagan Reddy Andhra ke liye chaar Dar-ul-hukumat ki mansoobah bandi kar rahay hain : TG Venkatesh

By News Desk Roman Urdu

August 26, 2019

Amaravati : Andhra pradesh ke Dar-ul-hukumat Amaravati ke mustaqbil ke silsila mein jari maamla mein ek naya modh shaamil karte hue, BJP ke ek rukan-e-parliament ney kaha ke wazeer-e-aala Y S Jagan mohan Reddy chaar Dar-ul-hukumat par ghour kar rahay hain.

Rukan Rajya sabha, TG Venkatesh  ney daawa kiya ke YSR congress party ( YSRCP ) ki hukoomat ek hi jagah par har cheez ki taraqqi nahi kar sakti hai aur is ke bajaye riyasat ke chaar alag alag ilaaqon mein char Dar-ul-hukumat ki mansoobah bandi kar rahay hain.

Venkatesh , jo Rayalseem khittay ke Kurnool se taluq rakhtay hain, jinhon ney haal hi mein ( TDP ) se BJP mein shaamil hue. unhon ney kaha ke Jagan Reddy tamam khittoun ki taraqqi ke khwaahan hain aur isi wajah se unhon ney is tajweez ki himayat ki.

Unke mutabiq, un khitton mein Ongole-Guntur-Nellore, Krishna-Godavari and Srikakulam-Visakhapatnam-Vizianagaram. honge. Venkatesh ney is baat ka inkishaaf aisay waqt mein kiya hai jab wazraa aur YSRCP rehnumao ke mutazaad bayanaat ney is baaray mein uljhan paeda kardi hai ke Amaravati se Dar-ul-hukumat muntaqil kiya jayega.

May mein YSRCP ke Iqtidaar  mein anay ke badse Dar-ul-hukumat ke mukhtalif ajzaa par tamam kaam thap ho kar reh gay hain, kyunkay is ney TDP ki Sabiqa hukoomat ki taraf se diye gay mua-hedoun par nazarsani karne ka faisla kiya tha.

Wazeer shehri tarqiyat Botsa Satyanarayana ney haal hi mein kaha hai ke dareaye krishna ke kinare ka ilaqa selaab se mutasir hai isi liye Amaravati ko Dar-ul-hukumat ke tor par dobarah ghour karne ki zaroorat hai. unhon ney kaha ke hukoomat jald hi apni policy ka elaan karegi. –YTN STAFF