Hyderabad : Andhra Pradesh ke dar-ul-hukoomat Amaravati kyun taraqqi nahi hogi. kyunkay May mein riyasat ke naye wazeer-e-aala ke ohday par Faiz honay ke din se hi YS Jagan Mohan Reddy ki tarjeeh wazeh thi.
Andhra pradesh ke wazeer-e-aala YS Jagan Mohan Reddy ne Andhra ke dar-ul-hukoomat Amaravati ko taraqqi dainay ke liye araazi ke husool ko ek bada ghotala qarar diya aur kaha ke unki hukoomat iski mukammal tehqiqaat karegi. Jagan reddy ne daawa kiya ke un ke, N Chandra Babu Naidu aur TDP ke deegar rehnumao ne androoni tijarat ka sahara liya, kyunkay woh jantay they ke naya dar-ul-hukoomat kahan qaim honi wali thi aur kam qeematon par zameenen khareed len.
Jagan mohan ke yeh ilzamaat naye nahi hain kyunkay woh is se qabal jab woh hizab-e-ikhtilaaf ke rehnuma they, tab bhi is maamla par TDP hukoomat ko tanqeed ka nishana banaya tha.
YSRCP ke badey paemanay par kamyabi haasil karkay Iqtidaar mein aaney ke baad, Amaravati mein chal rahay kaam ruk gay. Jagan reddy ke tabsaroun se kisanon mein khauf wo haraas phail gaya, jo dar-ul-hukoomat ke liye di hui 33000 acre araazi par mushtamil apni jayedadon ki taraqqi ki soorat mein achay munafe ki tawaqqa kar rahay the.
Amaravati mein amlaak ki qeematein bhi gir gayeen. pichle mahinay world bank aur asian infrastructure investment bank ( AIIB) ne bhi Amaravati ki taraqqi ke liye fund dainay se apne haath rok liye. unhon ne imarati paidaar infrastructure aur idaara jati taraqiyati mansoobay ke liye 500 million dainay ka wada kiya tha.
Is se hukmaran aur opposition jamaaton ke mabain ilzaam tarashi ka khel shuru hua . Jagan reddy ne kaha ke TDP hukoomat ki bad-unwani ke nateejay mein aalmi agencies ne apne haath khech liye. jabkay Naidu ne daawa kiya ke yeh YSRCP ke opposition mein rehtay hue dair ki gayi shikayat ka nateeja tha.
Pichle do. dhai mahino mein apne intikhabi wadon ko poora karne ke liye muashray ke mukhtalif tabqaat ke liye kayi schemes ka elaan karte hue, Jagan reddy ne Amaravati ka kahin bhi zikar nahi kya, yahan tak ke guzishta mah safarti amlay aur 30 mumalik ke numaindon ne bhi shirkat ki thi.
2019-20 ke budget mein, hukoomat ne Amaravati ke liye sirf 500 crore rupaye mukhtas kiye. jis se ek aur wazeh ishara diya gaya ke riyasat ka dar-ul-hukoomat unki tarjeeh nahi hai. is se yeh qiyasian aariyyan bhi paeda ho gayeen ke Jagan reddy Amaravati ko mukammal tor par dar-ul-hukoomat ke tor par khatam kardenge, kyunkay yeh Chandra Babu Naidu ki dimaghi paedawar thi.
Siyasi tajzia car Telakapalli Ravi ne bataya ke ”Amaravati wazeer-e-aala ki tarjeeh nahi hai, lekin yeh sirf ek propaganda hai ke woh usay khatam kar denge. “
Tajzia karon ka khayaal hai ke Jagan reddy Amaravati se garaiz nahi kar sakte, kyunkay 4 saloon se reyasti dar-ul-hukoomat wahan se kaam kar raha hai aur dar-ul-hukoomat ko muntaqil karne ka koi bhi iqdaam unke liye nateeja khaiz saabit hoga.
Chandra Babu Naidu ki tarhan, Jagan Reddy bhi pasmandah aur khushk saali se mutasirah Rayalseem khittay se atay hain lekin inhen poori tarhan ehsas hai ke junoobi sahili andhra mein Vijaywada ke qareeb ka ilaqa is ke liye markazi mehal wuqoo sameit tamam zawiyon se dar-ul-hukoomat ke liye mouzoon hai.
Amaravati ko Andhra pradesh mein markazi tor par waqay honay ka geographiyai faida hai. lehaza mojooda maqam se dar-ul-hukoomat ko muntaqil karna aasaan nahi hoga. –YTN STAFF