Slider

Jab tak mein na boloun kiraya nah den, Maalik makaan ka aam elaan

By News Desk Roman Urdu

April 07, 2020

Kuwait city: Kuwait mein Coronavirus se mutasir bairooni mumalik ke bashindoun ka kiraya maaf karne walay Kuwaiti shehri ke insaaniyat nawaz ravayye ki Social Media par sataish ki ja rahi hai. Tafselaat ke mutabiq ek Emarat ka Kuwaiti Maalik makano se milnay ke liye pahonch gaya. Is ne Emarat mein muqeem Misry ko mukhatib karte huve kaha ke agar aap logoun ke paas State Agency ka numainda aaye tu keraye mat dena aur keh dena ke Emarat ke maalik se baat kar lu. Allah taala hum sab ko is azmaish se nikalay ga.

Emarat ke maalik Ayed Samer Al-Aazmi ne makeeno se ye bhi kaha ke tangi ke baad kushadgi bhi aati hai mein tum se jitna kiraya longa is se maldaar nahi banonga. Aap is waqt tak kiraya mat dena jab tak ke mein khud talabb nah karoon. Agar aap logoun mein se kisi ke paas khaali kamray hon to aisay logoun ko wahan thehra satke ho jin ke paas rahaish ka intizam nahi hai.

Ghair mulki makeeno ke sath Kuwaiti shehri ki insaaniyat nawazi ki poori Arab duniya mein sataish ki ja rahi hai. 1 Arab wakeel Ahmed Mooswi ne Twit kiya ke Ayed Samer Al-Aazmi ne jo bhalai ka kaam kiya hai oopar wala usay nawazega. Nadi Aiwaz Al-Shalhi ne Twit kiya Ayed Samer Al-Aazmi  Kuwait ka sacha shehri hai. Is ne hamaray Misri bhaiyoun ka mushkil ghadi mein sath diya. Corona bohraan khatam honay tak kiraya nah lainay ka faislah karkay bohat aaccha kaam kiya. Is ne sahih maino mein ahal Kuwait aur Arbon ke iqdedar ki numaindagi ki. –YTN STAFF