Jaan ke lale jab pad jate hain to achay achay surma bhi apni hehkidi bhool jatay hain. Aisa hi kuch Nederland ke badbakht qanoon saaz Geert Wilders ke sath huwa aur is ne qatal ki dhamkion aur dosaron ki zindagion ko la-haq khatraat ke sabab paighambar islam ke cartoon ka muqaabla mansookh karne ka elaan kya hai. Geert Wilders ne apne bayan mein kaha hai ke ‘Islami tashadud ke khatraat ke sabab mayen ney faisla kiya hai ke ab cartoon bananay ka muqaabla nahi ho ga. Unho ne aik tehreeri payam mein kaha ke Islami tashadud ke mutasireen ko la-haq khatrah ke paish e nazar unhon ne faisla kya ke cartoon muqaabla ko jari nah rakha jaye. Inhen la-haq khatrah ke paish e nazar 24 ghantay security ghairay mein rehne lagey hain. Paygambar e Islam ke khakay bananay ka yeh muqaabla rawan saal November mein Nederland ki parliman mein Geert Wilders ki siyasi jamaat ke daftar m karne ka elaan kiya gaya tha. Holland mein aik Pakistani nazaad shehri ko hirasat mein le liya gaya jis ne Social Media ‘Facebook’ par Urdu mein payam diya tha jis mein unhon ne gustakhana cartooein munaqidn muqablon par dhamki di thi.’Yaad rahay ke Pakistan ke aik Cricketer ne Wilders ke qatal par inaam ka elaan kya tha. Khakoon ka muqablay ke ineqad ke elaan ke baad Pakistan samaet duniya bhar mein shadeed ehtrjaj kiya gaya tha aur mazhabi jamaat tehreek labaik Pakistan ka is silsile mein Lahore se Islamabad ki janib ehtajaji long March shuru kya tha. muqaabla mansookh karne ke elaan ke baad Pakistan tehreek labaik ke sarbarah Khadim Hussain Rizvi ki janib se un ki jamaat ke long March khatam karne ki bhi twite ki gayi. Pakistan ke wazeer Kharja Shah Mahmood Qureshi ne muqablay ki mansookhi ko ‘akhlaqi fatah’ qarar diya hai aur unhon ne kaha ke Ummat e Musalmah ke taawun se woh is mamlay par OIC aur aqwam mutahidda mein bharpoor aawaz uthayeng ge. Is se qabal qooum ke naam apne video pegham mein Wazeer e Azam Imran Khan ka kehna tha ke gustakhana cartoon ke maslay par OIC ke forum se aqwam mutahidda mein baat karen ge. Un ka kehna tha ke Nabi Kareem salle Allahu alehi vo wasallam musalmanoon ke dil mein rehtay hain, gustakhana Cartoon par har musalman ko afsos hai. Wazeer e azam Imran Khan ne kaha ke jab koi farad, Nabi kareem salle Allaho alehi wasallam ki shaan mein gustaakhi karta hai taamam Musalmanoon ko takleef hoti hai, hum duniya ko is maslay ke baray mein sumjhaayein ge. Imran ne is maamla par OIC mumalik ko muttahid karne aur UNO mein bhi masla ko uthany ka elaan kya tha aur kaha tha ke jis tarha holocaust masla par Europi union ke mumalik policy ikhtiyar kiye huwe hain hamein bhi Namoos e Risalat salle Allahu alehi wasallam par aisi hi mutahidda policy ikhtiyar karni hogi.