India

Ismat raizi ke mulzimin ko saza dilwanay mein DNA ka ahem roole

By News Desk Roman Urdu

November 26, 2019

Dehli police aur AIMS ki janib se awam bedaari muhim ka aaghazNew Dehli: Khawateen ke khilaaf tashadud ke khtama ke aaj aalmi din ke mauqa par Ismat raizi ke waqeat ki rok thaam ke liye Dehli police aur AIMS ne awam mein DNA ki ahmiyat aur is ke zareya mulzamin ki girftar ke liye honay wali aasaaniyoun ke mutaliq awam mein shaoor bedaari muhim ka aaghaz aims kiya hai aur is muhim ke zareya se DNA ki tashkhez ko mazeed aasaan kardiya jaye ga. jinsi juraim aur Ismat raizi ke mamlaat mein Hindustani nizaam ko mustahkam karne aur aam awam ke DNA forensic maaynon mein ahem kirdar keleye aagahi muhim shuru ki gayi hai.

Is muhim ke aaghaz ke mauqa par aqwam mutahidda ki khatoon Hindustan ki naib Country numainda Nishtha Satyam ne kaha ke DNA aap ki infiradi shanakht hai jo aap ke jism ke har hissa mein mojood hoti hai. aap ke naakhun, khoon, jald, paseenay aur yahan tak ke aap ke luaab mein bhi DNA mojood rehta hai. ye namumkin hai ke Ismat raizi ke maamla mein ek mulzim apne DNA ko saboot ke tor par peechay nahi chhodta ho. is liye hamein zurori hai ke un waqeat mein mutasirah afraad DNA test ka mutalba karne ko kair ahem tasawwur na Karen.

hindostan mein Ismat raizi ke waqeat ke sad-e-baab aur mulzimon ke khilaaf saboot akatha karne mein awam ki shaoor bedaari ahmiyat ki haamil hoti hai. ilawa azeen Additional Salicitor General India ki Dr Pinky Anand ne kaha ke DNA shawahid ki ahmiyat ko mad-e-nazar rakhtay hue hukoomat ne bhi DNA Bill pesh kiya hai aur Ismat raizi ke mamlaat mein DNA ki ahmiyat kaafi badh jati hai. mahireen ke mutabiq awam ko DNA shawahid ke tahaffuz par behtar maloomat se aaraasta karna Ismat raizi se bach jaany walay mulzamin ke khilaaf insaaf ki farahmi ka rasta nisbatan aasan banaya ja sakta hai.

Is mauqa par Dehli Police ke DCP Suman Nalwa ne kaha ke nakhushgawaar waqea ke baad khaufzadah aur ghirmahfoz honay ke bajaye insaaf ke liye dastiyab wasail aur raastoon ko ikhtiyar karna chahiye jis se na sirf Dehli balkay Hindustan ka har kona khawateen ke liye mehfooz ho sakta hai – YTN STAFF