Slider

Iraqi awam ne Americi sifarat khanaay par hamla kardiya

By News Desk Roman Urdu

December 31, 2019

Baghdad: Iraq ke dar-ul-hakoomat Baghdad mein kiye gaye fazai hamlay mein 2 darjan se zayed Jangchoun ki halakat ke baad hazaroun muzahireen ne Americi sifarat khanaay par hamla kardiya. Report ke mutabiq fouji libaas mein malbos mard aur kuch khawateen ne check points ki janib March kiya aur is douran Iraqi security forces ne inhen roknay ki koi koshish nahi ki. Muzahireen ne safaretkhane ki bairooni deewar uboor ki aur America murda baad ke naaray lagatay hue sefaretkhane par hamla kardiya. Muzahireen ke dhawa bolnay se qabal hi Americi sifaratkaar aur sefaretkhane ke aksar amlay ko ba hefazst wahan se nikaal liya gaya tha.

Ye kayi saal mein pehla mauqa hai ke muzahireen Americi sefaretkhane tak pounchanay mein kamyaab ho sakay hain jahan ye sefaretkhane kayi security chokion ke hisaar ke baad intahi mehfooz ilaqay mein waqay hai. Muzahireen ne musallah garohoon ke Network  Hashd Shaab ki himayat mein parcham lehraye jo baday pemanay par security forces mein shaamil hochuka hai. Guzashta roz Iraq ke maghribi hissay mein waqay fouji adday par Americi fazai hamloun mein Qatayed Hezbollah ke 25 jangju halaak hogaye they. Mazkoorah fazai hamlay iraqi fouji marakaz par raktoun ke hamlay ke jawab mein kiye gaye they jahan Iraq ke fouji marakaz par Americi forces tainaat hain. Un fazai hamloun ki zimma daari kisi tanzeem ne qubool nahi ki lekin America ne Hezbollah par ilzaam aed kiya tha.

Iraqi muzahireen Americi sifarat khanaay ki dewaroun ke paas poanch gaye they jahan unhoun ne America mukhalif naaray baazi ki parcham bhi nazar aatesh kiye. Muzahireen ne sifarat khanah band karne ke mutalbe aur parliament se Americi forces ko mulk chodne ka hukum dainay par mabni posters thaamay hue they. Mushtael muzahireen ne pathrao? Kiya aur sefaretkhane ki dewaroun par nasb security camera nikaal kar pheink diye. Americi sadar Donald Trump ne Baghdad mein Americi sefaretkhane par muzahireen ke hamlay ki muzammat karte hue is ka zimmay daar Iran ko qarar diya. Unhoun ne apni Twit mein kaha ke Iran Baghdad mein Americi sefaretkhane par hamlay ki mansoobah bandi kar raha hai, Un ko mukammal zimmay daar thehraya jayega aur ahem umeed karte hain ke sefaretkhane ki hifazat ke liye Iraq taaqat ka istemaal keregi.

Sefaretkhane se muzahireen ko peechay hatnay ke liye kayi martaba intibah jari kiya gaya lekin muzahireen ki pesh qadmi na ruknay par sefaretkhane mein mojood Americi ohdedaroun ne muzahireen ko muntashir karne ke liye Anso Gas ke shall barsaye. Ek poster par likha huva tha ke parliament ko Americi fojioun ko bahar nikaal dena chahiye ya hum nikaal denge. Qabal azeen hukoomat mukhalif muzahireen ne mukhtalif shehroun mein ehtajaji reliyan nikalen aur ahem Oil field se tail ki tarseel bhi rok di thi.

Wazeh rahay ke Iraq mein berozgari, Bad unwani ke khilaaf aur hukoomat ki tabdeeli ke mutalbe par shuru honay walay ehtijaj mein shiddat aagai hai. Is se qabal November mein Baghdad aur deegar shehroun mein hukoomat mukhalif ehtijaj ke nateejay mein muzahireen ne Civil nafarmani ki nai muhim shuru karte hue tamam sarkari dafatir aur karobari marakaz ko band kardiya tha. Isi terhan 29 November ko police ki muzahireen par firing ke nateejay mein 35 afraad halaak aur darjanoun zakhmi hogaye thay.

Iraq mein jari pur-tashaddud muzahiroun ke nateejay mein ab tak 350 se zayed afraad halaak ho chuke hain. Un muzahiroun ka silsila yakam October se jari hai tahan muzahireen Iran ki himayat yafta hukoomat par bad unwani mein mulawis honay, Awaami kamoun ke hawalay se shikayaat aur be rozgari ki sharah intahi buland honay ke ilzamaat aed kar ke mustafi honay ka mutalba kar rahay hain. Taham muzahireen ka sab se sangeen ilzaam ye hai ke Iraqi hukoomat Iran ki himayat aur is ke difaa ke liye apne hi awam par zulm kar rahi hai. Najaf mein Irani consul khanaay ko nazar aatish hotay hue dekhnay walay ek ayeeni shahid ne naam zahir nah karne ki shart par kaha ke Najaf mein police aur security forces hum par is terhan golian barsa rahi hain jaisay hum pooray Iraq ko aag laga rahay hain.

Muzahiroun mein shareek ek aur fard ne Irani consul khanaay ko aag laganay ke waqeye ko bahaduri aur Iraqi awam ka rad-e-amal qarar dete hue kaha tha ke hamein Iranio ki zaroorat nahi, Hum Iran se un halakatoun ka badla lenge. –YTN STAFF