New Delhi: Iraqi sarzamen par America aur Iran ke mabain jung ke khadshaat se Iraq mein Hindustani baradri mein tashweesh peda hogayi hai. Aqwam mutahidda ke ek aala sifaratkar jo kay Hindustan ke shehri hain un ke mutabiq abhi tak Iraq mein kahin bhi Hindustani shehrioun ko kisi qisam ke nuqsaan pounchanay ki koi ittila nahi hai. Iraq bhar mein takreeban 25 hazaar Hindustani bunyadi tor par mukhtalif shobo aur tail ke shobay mein kaam kar rahay hain. Kurdistan ke shumali khud mukhtar khittay ke dar-ul-hukoomat Irbil mein Hindustanyoun ki tadaad sab se ziyada hai jin ki aksariyat kaarobar mein masroof amal hai.
Bunyadi dhanchay aur tail se mutaliq farmoun mein masroof ghair hunar kargonan dar-ul-hukoomat Baghdad aur junobi badndargahi shehar Basrah mein kaam kar rahay hain. Aqwam mutahidda ke sifaratkar ne Baghdad se telephone par guftagu karte hue kaha ke sorat e haal kasheeda hai. Har taraf khauf o heraas taari hai lekin mein is baat ki tasdeeq karsaktha hon ke tamam Hindustani mehfooz hain. unhoun ne kaha ke mujhe Baghdad mein Hindustan ke safeer aur Iraqi hukoomat dono se tasdeeq mili hai. Aqwam mutahidda bhi is sorat e haal par kari nazar rakhay hue hai.
Aqwam mutahidda ne ghair rasmi tor par Iraq mein Hindustan ke safeer ko mahswara diya hai ke jab tak sorat e haal mamool par nah aajay is waqt tak mazeed hindustanyoun ko mulk mein jaany ki ijazat nah dijaye. Mission ab bhi sorat e haal ka jaiza le raha hai. Un ke mutabiq tail aur bunyadi dhancha ke shobo mein kaam karne walay chand achay ohdedaroun ke ilawa baqi name hunar mand aur ghair hunar mand afradi qouvat hain jo tail, Bunyadi dhanchay aur logestic mein masroof hain
Unhoun ne kaha ke badi tadaad mein hindustani Irbil mein hain. Kuch khushaal hain kyunkay wo baraamdaat aur daraamdat ka kaarobar kar rahay hain. Kuch pesha war afraad bhi wahan hain. Kurdistan ek mehfooz khitta hai lekin Irbil ke qareeb Americi markaz par Iran ne hamla kiya hai. Is se tanao peda hosakta hai aur jaan o maal ka nuqsaan ho sakta hai. Ye ek tashweesh-naak amar hai.
Mosal mein Dolatِ e Islamia ya Dayesh ke zareya 2014 mein taqreeban 40 Hindostanyon ke wehshiana qatal ke bad Iraq mein kahin bhi Hindustanyon par koi hamla nahi huva hai agar sorat e haal jung ka baais banti hai to Dayesh Iraq mein wapas asaktay hain.
Sifaratkar ne kaha ke ab aisa lagta hai ke Iraq mein baday pemana par tassadum shuru ho sakta hai. Americi sifarat khanah 4 January aur 5 January ki raat ko kuch missile ka hadaf tha. 6 January ki raat pursukoon thi lekin Iraq pareshan hai albata pursukoon tha. 8 January ki ali alsubah Baghdad se taqreeban 200 kilo meter ki doori par maghribi Iraq mein waqay Al Asad Americi Air base aur Iraq ke kard ilaqay mein Irbil Americi Air base par mazeed jadeed missiles ko nishana banaya gaya hai. Irbil ko ek mehfooz zone samjha jata hai. Ab tassadum gehra hota ja raha hai aur bara e raast tassadum ki soorat e haal pesh aa sakti hai. –YTN STAFF