Latest News

Irani Boxer Sadaf Giraftari Ke Warrant Ke Baad Watan Wapsi Ka Iradah Tark Kardiya

By News Desk Roman Urdu

April 19, 2019

Paris: Iran ki pehli khatoon boxer Sadaf Khadim ne hukkaam ki janib se hijaab na karne ke baad boxer aur Coach sameit unki giraftari ke warrant jari honay par watan wapsi mansookh kar di. tafseelaat ke mutabiq Official Boxing mein shirkat karne wali pehli irani khatoon Sadaf Khadim ki tarjuman ne kaha ke Tehran mein unki giraftari ke warrant jari kardiye gaye hain is liye wapsi ka iradah tark kardiya hai. Sadaf Khadim ke alawa France mein muqeem Irani nazaad sabiq aalmi Champion boxer Mahiyar ne bhi irani wapsi ka iradah karliya tha lekin un ke bhi giraftari ke warrant jari kardiye gaye hain .

Mahiyar ke tarjuman Clara Dolly ne kaha ke Mahiyar manish poor francesi shehri hain aur woh sadaf khadim ke humra Iran janay ki mansoobah bandi kar rahay hain they lekin un ki giraftari ke warrant jari kardiye gaye hain. khayaal rahay ke sadaf khadim ne boxing ke ek muqablay mein muqami boxer  ko shikast day di thi. Paris mein mojood 24 sala sadaf ne aglay haftay ke aaghaz mein apne aabadi ilaqay Manish Pur wapas anay ki tayari karli thi. francesi shehri ke warrant giraftari jari honay par France ki wizarat kharja ki janib se ta haal koi bayan samnay nahi aaya taham irani sifarat khanaay ki janib se wazahat ki gayi hai. Paris mein irani sifarat khanaay ke tarjuman ne kaha ke inhen sadaf khadim aur unke coach ke giraftari ke warrant jari honay ki tasdeeq ke liye darkhwast aayi hai . – YTN STAFF