Washington : Donald Trump ne Iran ke markazi bank aur qaumi taraqiyati fund ke khilaaf pabandion ka elaan kiya hai. unhon ne kaha hai ke Iran par hamla kab karna hai is ka faisla woh khud karenge. Australian wazeer-e-azam Scot Morison ke sath mulaqaat ke baad ek mushtarqa press conference mein Trump ne wazeh kiya ke Iran par pabandiyan ab tak ki sab se sakht tareen pabandiyan hain.
Amrici sadar ne tehran ko mutnabba kiya ke Washington ke paas duniya ki mazboot tareen fouj hai aur woh Iran ke khilaaf ziyada se ziyada pabandi ka istemaal kar ke tehran ke khilaaf dabao badhaane ka silsila bhi jari rakhenge. pabandion ke elaan ke baad aur mushtarqa press conference se qabal Iran ke khilaaf fouji karwai ke istemaal ke baare mein media ki janib se puche janay par Trump ne kaha America har karwai ke liye tayyar hai .
unhon ne jari rakha irani taqreeban dewalia hochuka hai aur is ki muashi sorat-e-haal bohat ab-tar hai. Trump ne yeh bhi kaha ke Iran ke rehnumao ko chahiye ke woh apne mulk ko bachanay ke liye dehshat gardi ki himayat chodh den. unhon ne elaan kiya ke unka mulk ab pehlay se kahin ziyada askari tor par mazboot hai. Amrici wazeer khazana ne kaha ke Iran par haliya Amrici pabandiyan bohat badi hain. Amrici wazeer ne kaha ke markazi bank tehran ke liye funds ka aakhri zareya tha.
Qabil-e-zikar baat yeh hai ke Trump ne Iran par aed pabandion ke naye package ka elaan kiya tha. iska elaan baad mein kiya jayega. guzashta haftay Saudi arab mein Aramco tel ki tansibat par hamlay ke baad Iran ke khilaaf Amrici iqdaam apni noiyat ka pehla iqdaam hoga. sadar Trump ne kaha hai Iran ke khilaaf America ki policy aur muaqqaf tabdeel nahi hua. –YTN STAFF