Slider

Iran ne ek aur Oil Tanker par qabza karliya

By News Desk Roman Urdu

December 31, 2019

Tehran: Iran ke pasdaran inqilab ne Abu Mosa jazeere ke qareeb se guzarnay walay ek Oil Tanker par qabzay ka daawa kiya hai. Zahen nasheen rahay ke Abu Musa jazeere par mutahidda Arab Emarat ka daawa hai jabkay Iran ka is par qabo hai. Khaleeji mumalik, Iran se Tunb el-Kubra and Tunb el-Sughra aur jazeera Abu Musa par se najaaiz qabza khatam karne ka mutalba karte rahay hain.

AFP ne Iran ke sarkari TV ke hawalay se kaha hai ke pasdaran inqilab ne tail ki smuggling ke shuba mein ek jahaaz par qabza karkay mulayishein amlay ke 16 arkaan ko giraftar kiya hai. Sarkari TV ki Website ke mutabiq pasdaran inqilab ne Abu Musa jazeere ke qareeb guzarnay walay Oil Tanker se 1.3 Million litter Smuggle shuda tail zabt kiya hai.

Irani behria is se qabal kayi martaba mutadid oil Tankerz par ye keh kar qabza kar chuki hai ke wo khaleej ke ilaqay se petrol smuggle kar rahay they. Yaad rahay ke Irani Coastguards ne 7 September ko khaleej se ek jahaaz par qabza kiya tha jis par 12  Philippine malah sawaar they. Irani pasdaran inqilab ne July mein Abnaye Hurmez mein Bartanwi Oil Tanker zabt kiya. Wazeh rahay ke tail ki 20 feesad aalmi rasad Abnaye Hurmez aur Abnaye  Bab-el-Mandeb ke rastay hoti hai. –YTN STAFF