Trending News

Iran mein Masajid khol di gayi

By News Desk Roman Urdu

May 05, 2020

Tehran: Iran mein Coronavirus se Record tadaad mein mareez sehat yab huve hain. Jari kiye gaye adaad-o-shumar ke mutabiq, Iran ke dawakhanoun se 80 hazaar loog Infection se pak ho kar niklay hain. Ye apne aap mein badi tadaad hai. Iran ne Coronavirus ke Infection ke kam khatray walay ilaaqoun mein Masajiden khol di hain.

Iran ki wizarat sehat ke tarjuman  Kianoush Jahanpour ne kaha ke Iran mein Coronavirus ki wajah se 74 nai amwaat darj ki gayi hain. Is ke baad yahan Infection se marnay waloun ki tadaad 6,277 hogayi hai.  Kianoush Jahanpour ne kaha hai ke pooray mulk mein ab tak 508288 namonoun ki jaanch ki jachki hai. Wazeh rahay ke Coronavirus se sangeen tor se mutasir khaleeji mulk mein 19 Feb ko Corona ka pehla maamla samnay aaya tha. Corona ki wajah se 47 amwaat huven. Ye pichlle 55 dinoun mein ek din mein honay wali mout ka sab se kam maamla hai.

Iran ki intizamia ne jaankari di hai ke kam khatray walay ilaqay ki Masajiden khol di gayi hain. Un mein taqreeban ek tahai Masajiden kholi gayi hain. Virus khatray ko dekh kar ilaaqoun ki nishandahi allag allag rang se ki gayi hai. Is ke liye safaid, Peelay aur surkh rang ka istemaal kiya ja raha hai. Iran mein Masajid jaaney walay logoun ko hidayat di ja rahi hai ke wo Mask aur dastanay pehan kar ayen. Inhen Masjid mein sirf adhay ghantay tak ruknay ki hi ijazat hai. –YTN STAFF