Tehran: Iran ne coronavirus ko phelnay se roknay ke liye aayed pabandioun mein mazeed narmi kardi hai aur mangal se mulk bhar mein tamam masajid ko dobarah kholnay ka elaan kiya hai. Iran ki sarkari khabar-rasan Agency Areeb ne Islami taraqiyati tanzeem ke Director Mohammad Qami ke hawalay se kaha hai ke Masajid ko kholnay ka faisla wizarat sahet ke sath mushawarat ke baad kiya gaya hai.
Irani hukoomat ke is elaan se ek roz qabal hi soobah Khuzestan mein coronavirus ke naye muamlay samnay aaye hain. Name sarkari khabar-rasan idaray tasneem ke mutabiq Khozestan ke ek ilaqay mein coronavirus phelnay ke baad Lockdown nafiz kardiya gaya hai. Is ne sobai governor ke hawalay se kaha hai ke soobah bhar mein Coronavirus ke maamloun mein izafah hogaya hai.
Guzashta jummay ko Iran ke taqreban 180 shehroun aur qasboun mein namaz jumma ke ijitmaat munaqqid huve they. Taham dar-ul-hukoomat Tehran aur baaz dosray shehroun mein Namaz jummay ke ijitmaat par badastoor pabandi aayed hai. Irani sadar Hassan Rouhani ne aindah haftay se school dobarah kholnay ka elaan kiya hai. Qabal azeen irani shehroun ke darmain safar par aayed pabandi bhi khatam ki jachki hai aur baday kharidari marakaz aur Shopping Malls mein karobari sargarmia bahaal ki jarahi hain.
Irani wizarat sahet ke ek tarjuman ke mutabiq guzashta 24 ghantay mein Coronavirus se 45 amwaat huvi hain. Mulk mein is mohlik virus se halakatoun ki tadaad 6685 hogayi hai jabkay is ke tasdeeq shuda mamlaat ki tadaad 109286 hogayi hai. Wazeh rahay ke Iran mashrqِ wasti mein naye Coronavirus se sab se ziyada mutasir honay wala mulk hai. Irani maeeshat Coronavirus aur is se pehlay America ki ayad kardah pabandioun ke nateejay mein burii terhan mutasir huvi hai. Chunancha Irani hukkaam ne maeeshat ka pahiya chalta rakhnay ke liye maloomat zindagi par ayad pabandion mein batadreej narmi shuru kardi hai. Taham mehakma sahet ke hukkaam musalsal khabardaar kar rahay hain ke pabandioun mein narmi se Coronavirus ke mareezoun ki tadaad mein dobarah izafah shuru hojaye ga.
Darin asna irani sadar ne sanat, Maadni wasail aur tijarat ki wizarat mein tabdeeli ka Elan kiya hai. Is faislay ka maqsad qaumi maeeshat ki bahaali hai. Unhoun ne Hussain Mudarris Gaya Bani ko Raza Rahmani ki jagah wizarat ka naya nigran sarbarah muqarrar kiya hai lekin ye nahi bataya hai ke Raza Rahmani ko kyun bar tarf kiya gaya hai. Irani sadar ne Gayabani ko hidayat ki hai ke mulk mein Car ki qeematoun mein istehkaam layein, Mulki pedawar ki raah mein haail ruukawatoun ko daur karen aur tail ke ilawa baqi ashya ki baraamdaat mein izafah karen. –YTN STAFF