Latest News

Iran mein ab khawateen bhi stadium jaakar match dekh sakengi, hukoomat ne hatayi pabandi

By News Desk Roman Urdu

October 09, 2019

Iran : Iran mein khawateen ke stadium mein match dekhnay ki pabandi ko hukumat ki janib se hata diya gaya hai. aur ab irani khawateen 40 saal baad stadium mein jaakar raast tor par football match dekh sakengi.

khabar rasan idaray AFP ke mutabiq Iran mein 1979 ke inqilab ke baad khawateen ke stadium mein jaakar match dekhnay par pabandi lagai gayi thi. ab jabkay yahan 10 october ko football match honay wala hai to, aisay mein pabandi hatnay ke baad yeh pehla mauqa hoga ke khawateen stadium mein ja kar mard hazraat ke matches barah-e-raast dekh sakengi.

Guzishta mah Iran ne football ki aalmi tanzeem FIFA ke dabao ke baad October mein honay walay football world cup qualifier ke liye khawateen shaiqeen ko stadium mein dakhlay ki ijazat dedi thi. iske alawa stadium mein match dekhnay ki ijazat milna, khawateen ke huqooq ke liye kaam karne walay karkunaan ki jad-o-jehad ka bhi nateeja hai.

khawateen ko match dekhnay ki ijazat milnay ke baad pehla match tehran ke azaadi stadium mein 10 october ko hoga, jis mein khawateen shaiqeen ki shirkat ke liye mukammal intizamaa kiye gaye hain. ittila ke mutabiq stadium mein 80 hazaar nishistoun mein adhay se ziyada nishistein khawateen ke liye mukhtas ki gayi hain. iske alawa sakht tareen security intizamaa bhi kiye gaye hain. khawateen ne is iqdaam par khushi ka izhaar kiya hai. –YTNSTAFF