Tehran: Saal 2016 ke Olympic mein Iran ke liye taekwondo mein bronze medal jeet kar ek nai tareekh raqam karne wali 21 sala Kimia Alizadeh ne Iran ko hamesha ke liye kher baad keh diya hai. unhoun ne kaha hai ke wo munafiqat, Jhoot, Nainsafi aur chaploosi ka hissa nahi ban-na chahtain. Alizadeh ne Iran chodne ka elaan samaji raabtey ki Website Instagram par kiya aur kaha ke wo Iran ki lakhoon mazloum khawateen mein se ek hain. Unhoun ne likha ke Europe anay ki inhen kisi bhi mulk ne dawat nahi di thi taham ye nahi bataya ke wo kis mulk mein pohanchi hain.
Mossola it-tila-aat ke mutabiq wo fi al-waqt Holland mein training kar rahi hain. 2016 ke Olympic mein unhoun ne Iran ke liye taekwondo mein bronz medal jeet kar ek nai tareekh raqam ki thi. Olympic ke kisi bhi muqablay mein wo Iran ke liye medal jeetnay wali pehli aur wahid khatoon hain. Ek aisay waqt mein jab Iran mein hukoomat ke khilaaf baday pemanay par muzahirey ho rahay hain, Alizadeh ne Instagram par Irani hukoomat par sakht alfaaz mein nuqta cheeni ki. Alizadeh ne likha ke inhen apni security aur sahet mand o khushaal zindagi ke siwa kuch nahi chahiye.
Unhoun ne kaha ke mein un lakhoun mazloom Irani khawateen mein se ek hon jis ke sath wo barsoun se khailtay rahay hain. Mein ne woi libaas pehnay jis ki unhoun ne ijazat di. Unhoun ne hum se jo bhi kuch kehnay ko kaha, Hum ne wohi baat dohra di. Un ke liye hamari koi ahmiyat nahi hai. Hum sab bewaqoof hain. Jumaraat se Kimia Alizadeh la patah then aur un ki ghumshudgi Iran ke liye ek sadme se kam nahi thi. Iran ke ek rukan parliament Abdul Kareem Hossain zade ne is ke liye hukoomat par sakht alfaaz mein nuqta cheeni karte hue kaha tha ke na ahal hakkaam qeemti insani sarmaye ko mulk se faraar honay ki ijazat dete hain. –YTN STAFF