Tehran: Iran aur America ki kasheedgi ki wajah se khittay mein halaat ghair yakeeni soorat e haal ka shikaar they hi lekin ab Iran ki janib se Iraq par hamlay ne aag mein tail daalnay ka kaam kardiya hai jisakeh Iran ne subah ballistic missiles se Iraq mein America ke 2 fouji marakaz par hamla kiya hai jis mein ibtidayi khabroun ke bamujab abhi tak kisi jani nuqsaan ki ittila nahi hai. Americi sadar ne ek Twit mein kaha hai hum nuqsaan ka jaaiz le rahay hain lekin ab tak sab theek lagta hai. Iraq mein waqay jin 2 fouji marakaz par 10 ke qareeb ballistic missiles dale gaye wahan Americi fouji rehtay hain.
Hamloun ke baad Irani sadar ke ek musheer ne Twit mein kaha ke charshumbe ke hamlay general Qasem Soleimani ki halakat ka jawab hai. General Soleimani guzashta haftay Americi Drone hamlay mein Baghdad Airport ke bahar halaak hue they.
Ibtida mein Iran ne kaha tha ke is ne sirf ek hamla kiya hai lekin Americi ohdedaroun ne 2 hamloun ki tasdeeq ki hai. Americi mehakmah difaa ne apne sarkari twitter account se hamlay ke tasdeeq karte hue kaha hai ke Iran ne Iraq mein Americi aur ittihadi afwaj par kam azk am darjan ballistic missile dale hain.
Mehakmah difaa ne pentagon ke hawalay se bayan dete hue kaha ke missile Iran se dale gaye they aur kam az kam 2 Iraqi fouji marakaz ain Al Asad aur Irbil ko nishana banaya gaya. Bayan mein kaha gaya hai ke filhaal ibtidayi nuqsanaat ka andaza lagaya ja raha hai. Hamloun ke baad Americi wazarat difaa ke ahelkaar White House poanch gaye jahan sadar Trump ke sath mulaqaat mein mukhtalif umoor par ghhor kiya gaya.
Ballistic missiles dale janay ke baad Irani wazeer kharja Javad Zarif ne ek Twit mein kaha ke Iran kasheedgi ya jung nahi chahta lekin Tehran kisi bhi jarehana karwai ki soorat mein apna difaa kerega. Irani wazeer kharja Javad zarif ne kaha Iran ne apne difaa mein aqwam mutahidda ke charter ke Article 51 ke tehat mutanasib karwai ki jo ab mukammal hogayi hai. Is karwai mein is Americi marakes ku nishana banaya gaya jahan se hamaray shehrioun aur Senior ohdedaroun par buzdilana musallah hamla kiya gaya tha.
Americi sadar Donald Trump ne bhi Twit mein Iran ke Americi fazai marakaz par hamloun ki tasdeeq karte hue kaha wo Iran ki fouji karwai ke hawalay se jumaraat ki subah bayan jari karenge. Dosri janib Americi federal Aviation Administration ne Americi musafir tayyaroun ko Iraq, Iran, Aur khaleej Oman ki fazai hudod mein udney par pabandi aed kardi hai.
-YTN STAFF