Slider

Hassan Rouhani ki dhamki par UAE ka sakht rad-e-amal

By News Desk Roman Urdu

August 17, 2020

Dubai: UAE ne Israel ke sath muahiday par Iran ke sadar Hassan Rouhani ki dhamki par UAE ka sakht rad-e-amal sadar Hassan Rouhani ke dhamki aamaiz bayan par skht rad-e-amal diya hai. Emarat ne Israel ke sath aman muahiday par dhamki ke jawab mein Abu Dhabi mein Irani sefartkhane ke naazim ul amor ko talabb kiya hai.

Arab media ney UAE ke khabar-rasan idaray WAM ke hawalay se bataya ke Israel ke sath taluqaat mamool laane ke muahiday par Irani sadar ke dhamki aamaiz bayanaat par sakht alfaaz par mabni yad dasht hawalay ki gayi hai. Emarat ke daftar-e-Kharja ney bayan mein kaha ke Israel ke sath muahiday par Emarat se mutaliq Irani sadar Rouhani, Irani daftar-e-Kharja ke ohdedaron aur pasdaran inqilab ke bayanaat ku naqabil-e-bardasht aur ishtial angaiz samjhtae hain.

Bayan mein mazeed kaha gaya ke ye bayanaat khaleej Arab ke aman-o-istehkaam ke liye sangeen nataij ke haamil hon ge. Emirate ne ehtajaji yaad dasht mein kaha ke Tehran mein Emarati sefarti mission aur sefartkaron ke tahaffuz ki tamam tar zimma daari Iran ki hai. Sefarti taluqaat ke muahiday ke tehat Iran safarti mission ke tahaffuz ka paband hai.

Emirate ne Israel ke sath aman muahiday ke baad Irani hukkaam ke ishtial angaiz bayanaat ko sakhti se mustard karte hue mazeed kaha ke ye Emirate ke androoni umoor mein mudakhilat aur is ki khudmukhtaari par hamla hai. Emirate apne androoni ray mein kisi bhi qisam ki mudakhilat ko mustard karta hai.

Emarat ne zor day kar kaha ke bain mulki taluqaat aur maahdon ka talluq kisi bhi mulk ki reyasti khudmukhtaari se talluq rakhta hai. Yaad rahay ke Iran ne UAE ko Israel se taluqaat mamool par laane ke muahiday ke rad-e-amal mein is ke khilaaf hamlay ki dhamki di hai.

Iran ke sadar Hassan Rouhani ne Israel Emarat muahiday ki muzammat ki, Usay ghaddari qarar diya aur kaha ke UAE ne bohat badi ghalti ki hai. Sakht geer Irani akhbar roznama kihan ne safha awwal par shaya kiye gaye apne adarie mein likha hai ke UAE ki Palesteeni awam se badi ghaddari. Is chhootay, maldaar mulk, Jo apni security ke liye bohat ziyada inhisaar karta hai, Ko ek qanooni aur aasaan hadaf bana day gi.