Slider

Iran . America kasheedgi ko kam karne Qatar salisi ka khwahan

By News Desk Roman Urdu

January 16, 2020

Doha: Iran aur America ke darmiyan kasheedgi ne is waqt saari duniya ko teesri aalmi jung ke khadshaat se dochar kardiya hai aur saari duniya chahti hai ke un 2 hareef mumalik ke darmiyan koi aisa waqea runuma nahu jis se saari duniya ko nuqsaan uthana pade lehaza Iran aur America ke darmiyan mojood kasheedgi ko kam karne ke liye Qatar mutharrak hogaya aur salisi kirdar aada kar ne ki koshisho mein masroof hai. Tafseelaat ke mutabiq Iraq ke dar-ul-hukoomat Baghdad mein 3 January ko Irani general Qasim Soleimani ki halakat ke baad Iran aur America mein kasheedgi badhti ja rahi hai, Is kasheedgi ke baais mashriq wasti mein ghair yakeeni sorat e haal hai jisay khatam karne ke liye safarti mahaaz par koshishen jari hain, Un koshisho mein Pakistan, Roos, Qatar samait deegar mumalik bhi mutharrak nazar aarhay hain.

Qatar ke wazeer kharja ne Salisi ki koshisho ki tasdeeq dora Baghdad ke douran ki. Sheikh Mohammed bin Abdulrahman bin Jassim Al Thani  ke bamujab Qatar is tanao mai kami ki khatir apna kirdaar ada karna chahta hai jis ne America aur Iran ke sath mashriq wasti ke pooray khittay ko nai jung ke dhanay par pouncha diya hai. Yaad rahay ke Qatri wazeer kharja Sheikh Mohammed bin Abdulrahman bin Jassim Al Thani  ka ye dora aisay waqt mein horaha hai jab Qatri wazeer kharja Irani general Qasem Soleimani ki halakat ke baad fori tor par Iran poanch gaye they jahan un ki Irani wazeer kharja Javad Jarif aur sadar Hussan Rohani se mulaqaat hui thi.

Baghdad mein Iraqi wazeer kharja Mohammad Alhakim ke sath press conference karte hue Abdul Rahman Al Thani ne kaha ke kuch dost mumalik ke sath mil kar badhti hui kasheedgi ko kam karne ke liye koshishen kar rahay hain, Badhti hui kasheedgi ke baad hum ne aalmi dostoun ke sath raabtey kiye hain. Mohammad Alhakim ne kaha ke Qatri hum mansab ke sath mulaqaat ke douran khittay mein badhti hui kasheedgi ko kam karne ke liye ahem umoor par baat cheet ki. Mulaqaat ke douran mushtarqa tor par koshishen karne par ittafaq kiya gaya hai.

Mushtarqa press conference se khitaab karte hue unhoun ne mazeed kaha ke Qatri hum mansab ke sath mulaqaat ke douran hamari baat cheet ka maqsad Iraq par jung ka manzar ban’nay par markooz rahi. Wazeh rahay ke Iran America kasheedgi ke baad Pakistan ne bhi safarti mahaaz par apne kirdaar ada karne ki koshishen shuru ki hui hain, Wazeer kharja Shah Mahmood Qureshi ne kasheedgi ke baad apna pehla dora Iran ka kiya jahan unhoun ne Irani wazeer kharja Javad Zarif, Sadar Hussan Rohani se ahem umoor par mulaaqaaten ki.

Un mulakatoun ke baad wazeer kharja Shah Mahmood Qureshi Saudi Arab gaye jahan unhoun ne apne Saudi hum mansab se mulaqaat ki aur inhen kasheeda sorat e haal ke baaray mein aagah karte hue kaha ke agar ye sorat e haal mazeed barqarar rahi to mustaqbil mein Afghan aman amal mutasir ho sakta hai jis ke baad khittay ki sorat e haal mazeed kasheeda hogi.

Nai Delhi mein mojood Irani wazeer kharja Javad Zarif ne kaha hai ke 3 January ko Irani general Qasem Soleimani ki halakat ne mashriq wasti mein kasheedgi ko mazeed badhwa diya hai, Is kasheedgi bhedne ki wajah Americi taqqabur aur jahalat hai. Doosri taraf Iran mein Bartania safeer ne paishgi ittila milnay ke baad Bartania chalay gaye hain. Khabar rasan idaray ke mutabiq Bartanwi safeer Rob Macaire Tehran mein Ukraine tayyaray ke tabah honay ke baad muzahiroun mein shirkat ke liye Tehran ki Al Kabir University puhanche thay, Jis ke baad police ne inhen hirasat mein le liya tha taham kuch ghantoun ke baad inhen reha kar diya gaya tha. Hukoomat ki taraf se inhen aagah kiya gaya tha ke wo fori tor par mulk chode de. –YTN STAFF