India

Intikhabaat mein bollywood sitaroun ki chamak

By News Desk Roman Urdu

April 12, 2019

Mumbai : Awam Bollywood ke deewani hain aur apni adakari se film nazreen ke diloun par raaj karne wali bollywood hastiyan intikhabi maidan mein bhi apne jalwey dikhaane mein peechay nahi rahi hain aur unhoun ne kayi martaba siyasat ki badi badi shaksiaat ko shikast di hai.

Maqboliat aur awam ki pasandeedgi ki badolat intikhabi siyasat mein apna asr dikhaane walay Bollywood adakaron mein Sunil Dat, Amitabh bachchan, Hema Malini , Vinod Khanna, Shatrugan Sinha, Rajesh Khannah, Dharmendar, Jaya prada, Raj Babber, Govinda, Smriti Irani, Paresh Rawal , Kiran Kher qabile zikar hain. 70 ke dahe mein is ki waqt ki wazeer e azam Indra Gandhi ke zareya mulk mein emergency nafiz kiye jany par deegar ilaaqon ki tarha bollywood ke log bhi emergency ki mukhalifat mein samnay aaye. mashhoor adakar Dev anand ne bollywood ke saathi adakaron aur hamion ke sath 1977 mein hukoomat ke khilaaf khel kar tashheer ki. Dev anand ne siyasat mein filhal hissa daari ki maqsad se ek nai siyasi party national party bhi tashkeel di. halaanke is party ko umeed ke mutabiq kamyabi haasil nahi hui aur baad mein yeh khatam hogayi.

Intikhabi maidan mein apni qismat azmaane waloun mein Mashoor adakar Sunil Dutt ka naam sare fehrist liyajata hai. filmoun ke alawa samaji khidmat ke shoba mein unke qabil qader taawun ke paish e nazar maharashtra hukoomat ne inhen ek saal ke liye Mumbai ka sheraf bhi muqrar kiya tha.Sunil Dutt 1984 may Congress mein shaamil hue aur Mumbai shumal maghribi lok sabha nishist ki paanch martaba numaindagi ki. woh markaz ki manmohan hukoomat mein khail aur nojawanon ki Falah wo behbodi ke umoor ke wazeer bhi rahay. unke intqaal ke baad khaali hue lok sabha nishist par 2005 mein hue zamni intikhabaat mein phir muntakhib huien .

Sabiq wazeer e azam Rajiv Gandhi ke dost rahay mashhoor adakar Amitabh bachchan apne dost ka sath dainay ke liye siyasat mein utre aur congress mein shaamil hue. Congress ne inhen 1984 ke intikhabaat mein Hemoti Nandan Bahugna ke khilaaf maidan mein utaara. lekin parda Simin par apni adakari se shaiqeen ko deewana bananay walay Amitabh bahugna ke samnay nahi tik paye aur shikast khagye, halaanke unka siyasi Career taweel nahi raha Scam forceĀ  mein naam ghasite jane se Amitabh itnay dil bardashta hue ke unhon ne rukan parliment ke tor par apni muddat poori honay se pehlay hi istifa day diya .- YTN STAFF