India

Intikhabaat mein badunwani ki darkhwast, Supreme Court ki election commission ko notice

By News Desk Roman Urdu

December 13, 2019

New Delih:Supreme court ne votes ki ginti mein gadbadi se mutaliq Association of Democratic Reforms  ( ADR ) ki darkhwast par election commission ko ek notice jari kar is se jawab talab kiya hai. Chief justice Sharad Arvind Bobde ki sadarat wali bench ne election commission ko notice jari kiya hai aur ADR ki pesh kardah report ko samnay rakhtay hue wazahat pesh karne ki hadaayat di hai. Arzi guzaar ne 2019 ke lok sabha intikhabaat mein EVM se pade votes aur aakhri votes mein farq ko challenge kiya hai. Is muamlay ki samaat ab aglay baras feb mein hogi.

Wazeh rahay ke ADR ne apni report mein daawa kiya tha ke saal 2014 mein hue lok sabha election mein 370 lok sabha sethom par Voting tadaad mein zabardast gadbadi huvi thi. Ye gadbadi EVM ki wajah se hui thi. ADR ke mutabiq is gadbadi ke baray mein kuch bhi batanay se election commission ne inkar kar diya hai. Isi maslay par ADR ke zareya Supreme court mein arzi daakhil ki gayi hai.

Ye arzi 15 November ko daakhil ki gayi. Arzi mein adalat se mutalba kiya gaya hai ke wo hindustani election commission ko ye hidaayat day ke kisi election ke nateeja ka elaan karne se pehlay wo durust data dastyab karwa ke kitney vote pade. Arzi dahinda ne adalat se ye bhi guzarish ki hai ke saal 2019 ke lok sabha election mein data ko le kar huvi tamam khamioun ki jaanch bhi karai jaye.

ADR ne 2014 ke sath 2019 ke lok sabha election mein bhi intikhabi commission ki taraf se dastyab faraham ke gaye data mein khaami honay ki baat kahi hai. Kaha gaya hai ke 2014 ke election nataij elaan honay ke baad commission ki Website aur is ke app (My Voters Turnout app ) par jo voting data dastyab kurwaye gaye they un mein kayi baar tabdeeli ki gayi hai aur hosakta hai ke ye tabdeeli khamioun ko chupaney ke liye ki gayi ho. Arzi dahinda ne kaha ke data mein kiye gaye badlao par commission ki taraf se kuch bhi nahi kaha gaya.

Arzi mein ADR ne 2019 ke lok sabha intikhabaat se mutaliq Supreme court ko bataya hai ke 347 setoun par daaley gay jumla vote aur EVM mein pade votes ki kul tadaad mein farq hai. 6 set to aisi hain jahan votes ki tadaad umeed waar ke jeetay gaye votes ki tadaad se bhi ziyada hai. Arzi mein kaha gaya hai ke election ke nataij ka elaan karne se pehlay votes ki tadaad achi terhan janchi jaye.

Arzi mein is baarey mein England, France, Pairo aur Brazil jaisay kuch mumalik ki misaal di gayi hai. Un mumalik mein election ke nataij ek tey shuda atharti ki jaanch parakh ke baad hi elaan kiye jatay hain. –YTN STAFF