India

Internet band honay ke baad Kashmiri awam ghantoun kutub-beeni mein masroof hogaye

By News Desk Roman Urdu

October 08, 2019

Srinagar : Waadi-e-Kashmir mein mawaslati nizam par guzishta do mah se pabandi hai jiski wajah se awam wo khawaas ko ek janib kayi masail saamna karna padh raha hai to doosri janib is pabandi ne kashmirion ki zindagi mein kayi ek inqalabi tabdeelian paeda kardi hain yeh hi wajah hai ke internet aur mobile khidmaat band honay ki wajah se waadi mein kutub-beeni aur kitabon ki maang mein khatir khuwa izafah hua hai.

Yeh sab par ayaan hai ke waadi Kashmir mein 5 august se mawaslati nizam mukammal tor par moattal hai jis se kashmirion ko masail wo mushkilaat ka saamna hai, talba, tajir aur sahafion ke mushkilaat har guzarte din ke sath badhtay hi jarahay hain.

Abid Ali Nami ek scholar ne kaha mein ne apni zaati library mein moujood tamam kitabon ki un 2 mah ke douran waraq gardani karli hai. mere ghar mein ek achi khasi library hai, is mein mukhtalif mo-zuaat par badi tadaad mein kitaaben hain, jo wahan dhool chaat rahi theen kyunkay inhen padhnay ke liye fursat hi mu-yassar nahi thi ab chunkay internet bhi band hai aur fursat bhi hai lehaza mein ne tamam kitabon ki un 2 mah ke douran waraq gardani ki hai. Ajaz Naseem Nami ek qalam-car ne kaha ke guzishta 2 mah ke douran na sirf kutub-beeni ka mauqa mila balkay kitaabein tehreer karne ki bhi fursat muyassar hui. guzashta 2 mah ke douran kashmirion ko sirf kutub beeni ka mauqa hi nahi mila balkay qalam karon ko mukhtalif mo-zuaat bilkhusoos moujooda halaat par qalam uthane ki bhi fursat muyassar hui.

Mousoof qalam-car ne kaha ke mere kayi qalam-car dostoun ne mukhtalif mozuaat par Zakheem kitaaben zabt tehreer mein layi hui hain. zeeshan Ali Nami ek taalib-e-ilm ne kaha ke mein ne nah sirf apne muqarara nisaab ki kitabon ki kayi baar waraq gardani ki balkay is ke alawa bhi kayi mozuaat par kitaaben padheen. unhon ne kaha mai guzishta 2 mah se ghar mein baetha hon, internet band hai lehaza mujhe nasabi kutub ke alawa doosri kitabon ko padhnay ka bhi mauqa mila hai mein ne apne mamu ki zaati library mein mojood angrezi wo urdu adab par kayi ahem kitabon ka mutalea kya jis se mujhe kaafi faida pohancha.

NIyaz Ahmed Nami ek kutub farosh ne kaha ke kitabon ki maang mein khatir khuwa izafah ho raha hai. guzashta 2 mah ke douran kitabon ki maang mein izafah hua hai aur mere paas aaj kal na sirf woh log aarahay hain jo pehlay hi kutub-beeni ke shouqeen they balkay woh bhi aarhay hain jo pehlay kitaaben nahi khareedtay they, mein jab subah dukaan kholta hon to wahan kayi log pehlay hi mere intzaar mein baithe hotay hain. Chunkay hadtaal jari hai is liye din ke waqt dukaan band rakhta hon.

Unhon ne mazeed kaha ke meri dukaan mein kaafi tadaad mein purani kitaaben padi hui theen un ko bhi logon ne khareeda aur nai kitabon ka mutalba bhi karte hain taham log tareekh Kashmir par ziyada kitaaben khareedna pasand karte hain aur is mauzo par mere paas ek bada zakheera tha jo khatam hogaya hai. Ahmed Saleem Nami ek shayar ne kaha ke internet band honay se log bilkhushoos nojawan ab shayri ki kitaaben bhi padhnay lagey hain. unhon ne kaha log bilkhushoos nojawan din raat apne mobile ke sath hi chipkay rehtay they lekin ab chunkay internet band hai lehaza woh ab kitaaben balkay shair wo shayari ki kitaaben padhnay lagey hain balkay kayi noujawan mere paas apna kalaam ba-garz islaah wo tasheeh bhi laatay hain.

Mohammad abbas Nami ek taalib-e-ilm ne kaha ke mein ne sarkari library ki rukniat haasil karne ke liye ab form bhi daakhil kiya. unhon ne kaha government library mere ghar se ziyada se ziyada 50 meter ki hi doori par waqay hai lekin mein ne wahan jaaney ki kabhi bhi zahmat nahi ki thi lekin ab chunkay mein guzishta 2 mah se ghar mein hi baetha hon aur ghar mein jo kitaaben moujood thi jab woh mein ne padh li to mein ne mazeed kitabon ke mutalay ke liye mazkoorah library se rujoo kiya. Jabar Nami ek mufakkir ne kaha ke logon khaas kar nojawanon mein kutub beeni ka shoq paeda hona khush aaind baat hai.

Kashmirion khaas kar nojawanon mein kutub beeni ka zouq vo shoq paeda hona khush aaind baat hai is se na sirf nojawan nasal ka Ilmi vo fikri miyaar buland hoga balkay un mein apni Saqafat wo tehzeebi virsay ko jannay aur pehchanney ka bhi josh paeda hoga.

Qabil-e-zikar hai ke internet ki sahoolat se waadi Kashmir ke noujawan bhi apna beshtar waqt mobile phone par Facebook, instagram, Whatsapp, youtube waghera par hi sarf karte they jiski wajah se un mein kutub beeni ka shoq na sirf maand padh gaya tha balkay kitabon ke mutalay ko mayoob bhi samajhney lagey they aur yahan zaati wo sarkari libraries mein mojood kitaaben keedoun ki ghiza ban gayi theen. –YTN STAFF