Indonesia ke mashhoor sayyahati jazeera Lombok mein 6.4 shiddat ke zalzala ney tabahi mchadi, zalzala ke natije mein 5 bachon samait 14 afraad halaak aur 162 zakhmi hogaye jabkay hazaron makanaat ko bhi nuqsaan pouncha hai. Indonesia ke sayahati jazeera Lombok mein subah saweray zameen larazne se log ghabra kar gharon se bahar nikal aaye, zalzala se mutadid makanaat girgye, imaarton ko nuqsaan pouncha jabkay malbay taley dabney se mutadid afraad zakhmi hogaye hain. mutasirah ilaaqon mein bijli aur muwasilat ka nizaam bhi mutasir hai jabke rahatkaari o bachao ahelkaaron ki ilaqa mein imdadi karwaiya jari hain taham hakkaam ney halakaton mein izafah ka khadsha zahir kya hai. aik ittila mein bataya gaya ke zalzala ke baais zayed az 1,000 makanaat ko nuqsaan pouncha hai. Bali ke qareeb makanaat ko taham koi nuqsaan nahi pouncha. mashriqi Lombok zila mein ziyada nuqsaan pouncha hai jahan 10 afraad halaak ho chukay hain.