Jakarta : Indonesia mein do cheharon walay bacha ki tasaveer viral horahee hain jo haal hi mein paida huwa hai. Yeh bacha Indonesia ke aik shehar Batam mein peda huwa hai jis ke baray mein doctoron ka kehna hai ke yeh pyost judwaan (conjoined twins) ki aik misaal hai jis mein do mah ke Gilang Andika ke sath dosray judwaan ka jism poori terha nah ban saka aur yun aik sar par aik ki bajaye do chehray ban gaye. Taham is kefiyat se maloom hota hai ke dosra bacha mukammal taur par namoo nah huwa aur is ka sar aur dimagh aik bachay ke jism ka hissa ban gaya hai. is lehaaz se Andika ke do chehre aur do dimagh hain. Is kefiyat se bachay ke dimagh mein maya bhar raha hai jo is ke liye jaan lewa saabit ho sakta hai. Yeh kefiyat bachay ke walidain ke liye be basi ki wajah bani hui hai kyunkay woh is ka ilaaj karanay se qaasir hain. Bachay ki walida Ernilasari aur waalid Mustafa apne bacha ko bachana chahtay hain. Muqami doctoron ney keh diya hai ke woh is bacha ka operation nahin kar saktay kyunkay yeh aik paicheeda maamla hai. Yeh bacha maa ka doodh peenay se qaasir hai aur usay nalki se dabbay ka doodh diya ja raha hai. Doosri janib mahireen ney kaha hai ke yeh bacha is kefiyat mein bohat arsa tak zindah nahi reh sakta. Tibbi istelha mein is marz ko hydrocephalus kehte hain jis mein sar ke andar maya jama hona shuru hojata hai. yeh marz bacha mein seekhnay, dekhnay, samajhney aur normal nashonuma mein rukawat bantaa hai aur mirgi jaisi kefiyat bhi peda karsaktha hai .