Hyderabadi mulazimaton

Hyderabad

Hyderabadi mulazimaton ki market mein corona ke baad bahaali

By News Desk Roman Urdu

December 09, 2020

Hyderabad: Wabai marz corona ke urooj ke douran hama waqt kam tareen satah par rehne ke baad hyderabad mein mulazmat ki posting mein haliya mahino mein ek behtareen izafah dekha gaya.

Monster employment index 2020 ke taaza tareen tajziye ke mutabiq covid-19 wabai bemari ke bawajood mulk bhar ke mutadid shehron mein mulazmat ki posting mein numaya izafah hua hai. April aur July ke darmiyan aed kardah lockdown ke douran, chandiarh ( -27 feesad ), Mumbai ( -24 feesad ) aur bangloru ( -20 feesad ) sab se ziyada mutasir honay walay mutadid shehron mein rozgaar ki sharah mein kami waqay hui hai.

Jaipur ( + 8 feesad ), baroda( + 2 feesad ), Calcutta ( -2 feesad ) aur Coimbatore ( -4 feesad ) sab se kam mutasir honay walay shehar rahay. Baad azan chandigarh ( 17 feesad ), Bangalore ( 14 feesad ), pune ( 4 feesad ), chennai ( 4 feesad ) aur Hyderabad ( 4 feesad ) ne august taa November ke douran ziyada se ziyada mulazimaton ke mawaqay zahir kiye hain. Woh shehar jo ab covid se pehlay mulazimaton ke adaad shumaar ki satah se wapas aaye hain ya behtar muzahira kar rahay hain woh Bangalore ( 3 feesad ), Hyderabad ( -5 feesad ), chandigarh ( -5 feesad ), aur Jaipur ( -5 feesad ) hain.

Ye report monster ke dakhli index par mabni thi jiski asaas 100 thi. April July ke douran, BPO ITs ( -48 feesad ), binkari / maliyati khidmaat, insurance ( -48 feesad ), pedawar aur manufacturing ( -46 feesad ), safar aur sayahat ( -76 feesad ), aur libaas / textile / chamray, aur zewraat ( -49 feesad ) san-aton ko January March ke muqablay mein sab se ziyada mutasir kiya gaya. Telecom / ISP ( -16 feesad ), ishtihar baazi, market reserch, taluqaat aama ( -11 feesad ), media and entertainment ( -6 feesad ), printing / packaging ( -13 feesad ), zaraat Yafta san-aton ( -5 feesad ) par kam assar parre. August taa November ki bahaali ki muddat ke douran, import / export ( 15 feesad ), logistic, courier / freight / tansport ( 14 feesad ), retail ( 13 feesad ), BPO / ITs ( 9 feesad ), garments, jawahraat aur zewraat ( 8 feesad ) jaisay san-aton mein mulazmat ki posting lockdown muddat ke muqablay mein ab behtar hui hai. telecom/ ISP ( -8 feesad ), ishtihar baazi, market reserch and PR ( -11 feesad ), media and entertainment ( -5 feesad ), logestic, courier / tansport ( -9 feesad ), aur zaraat par mabni sanaten ( 0 feesad ) ) covid se pehlay ki satah par bhi wapas aachukay hain. yeh adaad shumaar corona ke mukammal khatam nah honay ke bawajood ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue zindagi ki wapas apni raah par anay ke isharay day rahay hain.