India

Hyderabad waqea par Swati Maliwal ki Jantar Mantarpar bhook hadtaal

By News Desk Roman Urdu

December 03, 2019

New Delhi: Delhi khawateen commission ki sadar Swati Maliwal ne ilzaam lagaya hai ke Delhi police un ke sath taawun nai kar rahi hai aur police ne kaha hai ke oopar se ehkamaat hain ke inhen bhook hadtaal par na bethne diya jaye. Maliwal ne mulk bhar mein bachiyoun aur khwatien ki esmatraizi ke badhatay mamlaat ke khilaaf aaj se Jantar Mantarpar bhook hadtaal karne ka elaan kiya tha.

Khawateen commission ki sadar ne police ke inkaar ke bawajood apni bhook hadtaal shuru kar di hai. Is se qabal unhoun ne twitter par likha ke police hamein Jantar Mantarpar bethne nai de rahi hai. Raat bhar police ne pooray Jantar Mantar par barricades karkay khaimay, Mic aur bet-ul-khala nai lagne diye. wo saaf keh rahay hain bhook hadtaal nahi karne den ge. Mulk mein ek aurat par aman tareeqay se bhook hadtaal bhi nai kar sakti? Markazi hukoomat ko aisa bhi kiya khauf hai? kiya ye sahih maino mein jamhoriat hai?

Unhoun ne mazeed lekha ke chahay kuch ho jaye, Police aur markaz kitni bhi koshish kar le, Meri bhook hadtaal har haal mein jari rahay gi. Jab tak markaz pooray mulk ke liye aisa nizaam nai banate take esmatraizi ke qusorwaroun ko har haal mein 6 mah ke douran phansi ho is waqt tak mein nai uthuun gi. Pehlay Raj Ghat aur phir seedhay Jantar Mantarja rahi hon. Jay hind.

Maliwal ne kaha ke police ke rahi hai ke un ke paas oopar se hukum hai ke wo hamein bhook hadtaal par na bethne den. Mein mujrim nai hon, Ye bad qismati ki baat hai ke Delhi police taawun nai kar rahi hai.

Commission ki sadar ne Wazeer-e-Azam Narendra  Modi ko ek khat bhi likha hai jis mein kaha hai ke jab tak aap waday pooray nai karte, Mein ne bhook hadtaal karti rahon gi. Mulk mein police ke wasail aur jawab dahi mein izafah kiya jaye aur fast track court banai jayen. –YTN STAFF