Hyderabad

Hyderabad mein Rythu Bazar ka bohraan, matlooba tadaad ka husool mushkil tareen kaam

By News Desk Roman Urdu

August 20, 2019

Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad mein Rythu bazaar ka bohraan hai kyunkay Hyderabad ki jumla abadi ke aitebaar se jahan shehar mein kam az kam 50 Rythu bazaar honay chahiye wahein shehar mein sirf 11 Rythu bazaar hi mojood hain. Rythu bazaar ki matlooba tadaad shehar mein dastyab nah honay ki wajah se awam ko taaza tarkariyoun aur mewa jaat ke husool ke liye kam az kam 3-4 chaar kilo meter ki masafat tey karni padh rahi hai jis ki wajah se 2-4 chaar ghantay sirf amad wo raft mein hi guzar jatay hain halaanke ke shehar ke muhallay aur galiyo mein haftay ke kisi ek din tarkariyoun ki market zaroor lagti hai lekin yeh chand ghanton ki market awam ki woh bunyadi zaroorat hi poori karti hai jis mein har khaas wo aam ke ghar mein rozana ke saalan ke liye tarkari darkaar hoti hai lekin deegar ashya ki dasteyabi un haft waar markiton mein poori nahi hoti .

Shehar Hyderabad mein mojood Rythu bazar ka qiyam 1999 mein amal mein aaya tha aur woh is waqt ki Hyderabad ki abadi ke hisaab se qaim kiye gaye they kyunkay jis waqt yeh Rythu Bazar qaim kiye gaye they is waqt Hyderabad ki jumla abadi 40 laakh thi lekin is waqt Hyderabad ki jumla abadi ek  crore nafoos se bhi badh chuki hai. Hyderabad ki mojooda abadi ke aitbaar se shehar mein kam az kam har assembly ilaqay mein ek Rythu bazaar yani 27 Rythu bazar ki zaroorat hai. taghzia ke qaumi idaray ( NIN) ke mutabiq har shehri ko rozana 300 gram tarkari aur 100 gram mewa jaat istemaal karna zurori hai aur iss adad wo shumaar ke aitbaar se shehar Hyderabad ko rozana kam az kam 3000 tan Tarkariyoun ki zaroorat hoti hai.

Qaumi idaray ki janib se tajweez kardah Tarkariyoun aur mewoun ki miqdaar ke aitebaar se Hyderabad ki har 10000 abadi ke liye ek Rythu bazaar zurori hai. GHMC ki janib se Hyderabad mein model markets ke mansoobay par amal aawri hunooz kaghzat tak mehdood hai. agri marketing department ke ohdedaron ke mutabiq ek Rythu bazaar ke qiyam ke liye kam az kam ek acre araazi ki zaroorat hoti hai tabhi bunyadi zaroriat aur dukanat ki mojoodgi ko yaqeeni banaya jaskta hai. shehar Hyderabad ki gunjaan abadi walay ilaaqon mein ek acre araazi ki dasteyabi ek mushkil tareen kaam hai aur agar shehar ke muzafati ilaaqon mein rythu bazaar ko qaim kiya bhi jata hai to iska faida hi nahi hoga. –YTN STAFF