Hyderabad: Phooloun ke Guldastoun ke kaarobar par Corona ka asar dikhagya. Kisi bhi achay kaam, Taqarib aur deegar ke liye istemaal honay walay phooloun ke guldastoun ki dukanat ab gahkoun se khaali nazar aa rahi hain, Greater Hyderabad mein taqreeban 500 phooloun ki dukanat hain jahan guldastay tayyar kiye jatay hain jo sadak ke kinare kaarobar karte hain. Saalgirah, Shadi ki saalgirah, Wazifa par subuk doshi, Tahiniat ki peshkashi aur deegar taqarib ke mauqa par phooloun ke guldastay pesh karna ek ahem rivayet thi jo gum hogayi hai aur is kaarobar par lockdown ney apna asar dala hai.
Corona ke pesh e nazar Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) hudood mein kahin bhi badi shadian, Taqarib nahi horahee hain jis ki wajah se un ka karoba mutasir huwa hai. Corona waba se pehlay har ek dukaan mein 50 taa 70 guldastay farokht kiye jatay they taham mojooda sorat e haal mein 5 taa 10 guldastay farokht hona bhi mushkil hai. Ek dukaan par 5 ta 10 afraad rozgaar ke liye munhasir they taham rozgaar ki mehroomi ki wajah se ye afraad apne aabadi maqamat ke liye rawana hogaye aur dukanat ke malekin hi khud guldastay teyaar karte hue un ko farokht kar rahay hain. Un dukanat ke malkin ney kaha ke un kakarobar kaafi kam hogaya hai. Ek tajir ney kaha ke is ke paas 6ta 8 workers they, Kaarobar nah honay ki wajah se un ko un ke aabadi maqam Kalkata bhaij diya gaya hai.
Ek tajir ney kaha kay lockdown se pehlay har shadi khanah mein sajawat ka kaam kiya jata tha jo ab nahi ho raha hai. Guldastoun ki tayari ke liye istemaal honay walay phool, Plastic aur deegar ashya bi munasib waqt par nahi mil rahi hain jis ki wajah se un ki tayari ka kharch qabal azeen se zayed hogaya hai. Ek taraf is ki tayari ke kharch mein izafah ho raha hai to doosri taraf kharidaroun ki kami hogayi hai. Is se un ko kaafi nuqsaan uthana padh raha hai. Aindah saal tak bhi aisi hi sorat e haal barqarar rahegi. Unhoun ney kaha kay un ke kaarobar mein izafah ke liye shadioun ke liye munasib ijazat darqarar rahegi. Unhoun ne kaha kay un ke kaarobar mein izafah ke liye shadioun ke liye munasib ijazat darkaar hai.