Hyderabad

Hyderabad Mein Food Poisoning Ke Badhtey Waqiyat Ke Sad-e-Baab Ke Liye Ohdedar Hi Nahi

By News Desk Roman Urdu

August 07, 2019

Hyderabad : Shehar-e-Hyderabad mein haliya dinon mein food poisoning ke mutadid waqiyat runuma hue hain jis mein haliya waqiya Residential school ke hostel ka hai jahan food poisoning  ki wajah se kayi bachon ko dawa-khaney mein shareek karna pada. Poisoning ke waqiyat mein jahan ghair miyari ghizai ashiya faraham kiya jana kaledi kirdaar ada karta hai to doosri janib ghizai ashiya ki miyaar janchne ke liye hyderabad ke GHMC hudood mein matlooba amlah bilkul nahi hai. GHMC mein 30 circle hain aur har circle ke liye fi kis ek food inspector hona laazmi hai.

Hyderabad ke GHMC  hudood mein ghiza ke miyaar ko janchne ke liye is waqt sirf do ohdedar hi mojood hain halaanke qaida ke aitebaar se hona yeh chahiye ke GHMC ke 30 circle mein fi circle ke hisaab se 30 food inspectors mojood hon aur har circle inspector gazetted food inspector aur assistant food inspector ki nigrani mein apne circle ya hudood mein ghizai ashiya ke miyaar ki musalsal nigehdasht kare aur is ke hudood ke restaurants, bar, hotels, dawakhane, residential school ke hostels may faraham kiye jane walay khaano ke miyaar ki jaanch ki jaye lekin GHMC ke hudood mein is waqt sirf ek gazetted food inspector aur ek assistant food inspector moujood hai aur yahi do senior ohdedar saaray shehar Hyderabad ke mamlaat ki eksoi kar rahay hain.

Is khusoos mein izhaar-e-khayaal karte hue gazetted food inspector Sudarshan ne kaha hai ke GHMC ke hudood mein jo 30 circle hain yahan har circle ke aitebaar se 30 food inspectors honay chahiye lekin kisi bhi circle mein koi inspector moujood nahi hai aur shehar-e-Hyderabad ke har chootey badey mamlaat ki shikayat ki ek soi ke liye hum do ohdedaroun ko hi kaam karna padh raha hai. Sudarshan ke mutabiq woh aindah 9 mah ke douran apne ohday se subukdosh ho rahay hain jabkay dosray ohdedar ki bhi meyaad aindah 10 mah mein khatam honay wali hai.

Food inspector ki makhlua jayedadon per naye inspectors ke taqarurat ki tajweez bhi di gayi hai lekin hanoz is par koi amal aawri nahi ki ja rahi hai. ek janib food inspector ki jayedadon par koi taqarurat nahi ho rahay hain aur janib miyaari khanay ki tahaqeeq ke liye sirf do senior ohdedaron ki khidmaat na kafi ho rahi hain to doosri janib shehar hyderabad mein ghair miyari khaano ki rozana shikayatoun mein musalsal izafah ho raha hai. hukkaam ke mutabiq ohdedaron ko haliya dinon mein kaafi sakht halaat ka saamna karna padh raha hai, kyunkay Swiggy , Zomato aur is tarha ke deegar apps ke zariye khaano ke jo orders kiye ja rahay hain is mein bhi ghizai ashiya ke ghair meyaari honay ki shikayat ka ek silsila chal raha hai. monsoon ki wajah se jahan shehar-e-Hyderabad mein pehlay hi amraaz phail rahay hain wahein apps ke zariye online khaano ke jo orders kiye jarahay hain is mein hukkaam ko rozana 5 taa 6 shikaytein ghairmayari khanay ke mutaliq masool ho rahi hain. –YTN STAFF