Hyderabad

Hyderabad mein CAA ke khilaaf muzahiroun ke baad bhi sorat-e-haal pur aman

By News Desk Roman Urdu

December 21, 2019

Hyderabad: Mulk bhar mein, Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) aur National Register of Citizen ( NRC ) ke khilaaf par zor ehtijaj jari hai aur mukhtalif shehroun mein ehtajaji muzahiray kiye ja rahay hain. Wahein Hyderabad mein bhi ehtajaji CAA ke khilaaf muzahiray kiye ja rahay hain aur ab tak ye shehar aman ki anokhi misaal bana huva hai.

Delhi mein Jamia Millia Islamia university ke talba par mobayyana police bar bariat ke khilaaf ehtijaj yahan bhi isi waqt shuru huva, Aur ehtijaj ne zor pakda, Aahista aahista is ehtijaj mein ghair sarkari tanzeemen aur shehri giroh bhi shaamil hogaye, Qabil zikar baat ye hai ke, Yahan koyi tashadud nahi huva.

Puranay shehar mein, Jahan mutadid muzahireen ko hirasat mein liya gaya tha, Ehtijaj par aman raha hai. Jummay ke roz agar chay halka tanao tha, Jab kuch muzahireen ne police ehalkaroun par joota phenka tha. Is douran police hajhoom ko baghair ko yi pareshani ke hajhoom ko muntashir kar ne mein kamyaab ho gayi. Dar haqeeqat Mehdipatnam ki Masjid Azizia mein, Nojawan namaz jummay ke baad sadak par jama hue aur qaumi taranah gaaya aur naaray baazi ki.

Ehtijaj ke muntazmeen, Tashadud se bachney ki koshish mein they aur hajhoom ko ishtial angaiz naaroun se prays karne ki talqeen kar rahay they. Puranay shehar mein ghalat shanakht ke kuch waqeat ke ba wujood police aman-o-amaan ko barqarar rakhnay mein kamiyab hogayi hai. –YTN STAFF