Hyderabad

Hyderabad mein bunkron ke liye kaam nahi. watan wapes

By News Desk Roman Urdu

August 06, 2020

Hyderabad: Hyderabad mein Kaam nah honay aur kiraya ada nah kar pane ke nateeja mein kayi bunkar jo Hyderabad mein kaam karte they apne aabadi maqamat ko wapas hogaye hain. Ye sorat-e-haal Covid-19 ki wajah se peda hui hai kyunkay is sorat-e-haal ke nateeja mein kayi bunkar be rozgaar hogaye hain aur wo paicheeda sorat-e-haal ka saamna kar rahay hain. Shehar Hyderabad ke LB Nagar, Hayat Nagar,  Pedda Amberpet ilaqon mein lockdown se pehlay badi tadaad mein ye afraad kaam karte they taham un maqamat ki galiyo mein jahan bunkari ki sargarmia urooj par theen, Ab khaali nazar aa rahi hain. Un ke dastkaari ke Sheds bhi khali hugaye hai. Khanay peenay ke liye mushkil sorat-e-haal ka saamna karne ki wajah se ye afraad wapsi ke liye majaboor hue.

Har saal un ilaqon mein June ke maheena mein kaafi sargarmia dekhi jati theen wo har worker taqreeban 3000 taa 3500 rupay ki kamaai karta tha taham corona ki wajah se is martaba sorat-e-haal yaksar badal gayi hai. Un Workers ney tawaqqa ki thi ke lockdown ke baad ki sorat-e-haal behtar hogi taham un ko mayoosi ka saamna karna pada kyunkay un ke Color ke dabbay aur deegar ashya jo sadiyon ki tayari ke liye darkaar theen dastyab nahi huien. Ek aisay hi worker ney bataya ke kaam nah milnay ki wajah se kayi Workers khanay ke liye taras gaye isi liye wo kisi terhan apne mowazat chalay gaye. Kayi Workers hi Handlooms Sheds ke kiraya ki adaigi ke bhi muaqqaf mein nahi the.