Hyderabad: Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) dastyab jagah ke mo-asar istemaal ka iradah rakhtay huve 200 naye Bus shelter taamer kar rahi hai jo shehar bhar mein mukhtalif maqamat par bet ul khola, Mobile charging points aur deegar sahuliyaat se aaraasta hongi.
Khayaal ye hai ke shehar mein bunyadi sahuliyaat ki taamer ke liye dastyab jagah ka behtar istemaal kiya jaye. Bet ul khula aur Bus stops ki dasteyabi hamesha ek challenge raha hai aur un masail ko daur karne ke liye Municipal Corporation ab bet ul khula se lais Bus shelters ki taamer par kaam kar rahi hai.
Ye tamam sahuliyaat RTC ki zaroriat par samjhotah kiye baghair tayyar ki jayengi. Musafiroun ke Information System ke liye rastay ki tafseelaat, Bus number, Keraye, nizaam ul auqaat, Raute guide waghera ko zahir karne ke liye kaafi jagah hogi. Ye naye Bus shelter purani imaartoun ki jagah par taamer kiye jayen ge jo khasta haal aur mukhtalif Agencies se mutaliq hain jin ke sath moahida huwa hai lekin un maahdoun ki muddat khatam ho chuki hai. Naye Bus shelter ko Build, Operate aur Transfer ki bunyaad par taamer kiya jaye ga aur GHMC ko un sahuliyaat ki taamer mein koi raqam kharch karne ki zarorat nahi huki.
GHMC ne bet ul khula ki taamer ke liye khakay, Rehnuma khutoot aur sharait o zawabit ko pehlay hi hatmi shakal day di hai. Municipal cooperation mukhtalif sahuliyaat walay shelters ki taamer, Chalanay aur dekh bhaal ke liye khangi idaroun ke sath kaam kar rahi hai.
Agencies ko ijazat di jaye gi ke wo Bus shelters mein muhayya ki jaaney wali jagah ke zareya ishtihari mehsool haasil karen aur bet ul khula ko chalanay ke liye baraye naam Fees bhi wusool karen. GHMC ke ek senior ohdedar ne bataya ke wo Agencies jo municiple cooperation ko ziyada aamdani ki pesh kash karti hai inhen Bus stops ki taamer, Chalanay aur dekh bhaal ka moahida pesh kiya jayega.
Mara-aat ka moahida 3 saal ke liye hoga aur muahiday ki muddat khatam honay ke baad agencies ye sahuliyaat GHMC ke hawalay kar deingi. Mara-aat ke muahiday ki muddat ke douran, Agencies ko Bus shelter aur bet ul khula barqarar rakhna honge. Unhoun ne kaha ke wahan ganday pani ko zaya karne ke nizaam mojood honge, Jis mein zir-e-zameen nikasi aabb ka link ya lipti gadhay ke sath Septic Tank shaamil hain. Ye Bus shelters 4 Packages mein pooray shehar mein taamer honge. Agencies ko mojooda Bus stops ko masmaar karne aur naye imaartoun ki taamer ka kaam bhi sonpa jayega. –YTN STAFF