Hyderabad

Hyderabad ko Hindostan ke sab se behtareen shehron mein pehla maqam

By News Desk Roman Urdu

September 16, 2020

Hyderabad: Chahay aalmi darja bandi ho ya qaumi survey Quli Qutub Shah ki janib se basaya gaya shehar Hyderabad ne is daud mein sare fehrist rehne ki aadat se daal li hai. JLL City Momentum Index 2020 mein duniya ke sab se mutharrak shehar ke tor par muntakhib honay ke bad ab Nawabon ke shehar Hyderabad ne ab manazil ki talaash ke liye maroof Website Holidify.com ke ek Survey mein Hindostan mein rehne aur kaam karne ke liye 34 behtareen shehron mein pehlay number par hai.

Mazkoorah Website jo musafiron ko apni tarjeehat ke mutabiq sahih manzil talaash karne mein aur pareshani se pak andaaz mein apni tatilat ke mansoobay mein madad deti hai is nay kaha hai ke Hindostan mein rehne ke liye behtareen shehar mukhtalif reyaston ki saqafaton ka majmoa hain aur deegar anasir ko shaamil karte hue Hindostan ke 34 behtareen shehron ki daraja bandi mein Hyderabad ko pehla maqam haasil huwa hai.

Website ke bamujab chahay yeh mazboot Infrastructure, Paidaar taraqqi ya maeeshat ho yeh tareekhi aur asri shehar na qabil yaqeen amal ke tareeqakar ki wajah se aasani se pehla maqam haasil karchuka hai.

Survey ke douran Hyderabad ney 5 mein se 4.0 nishanaat haasil karte huve pehla maqam haasil kiya hai. Nizaam ke is shehar ney Mumbai, Pune, Bengaluru aur Chennai ke ilawa dosray shehron ko is daud mein shikast di.

Survey ke mutabiq Hyderabad shehar jane ka behtareen waqt September se March tak hai aur tareekhi Charminar aur Golkonda qilay se le kar Ramoji Film City tak shehar mein dekhnay ke liye ek hi nahi balkay bohat saaray tareekhi aur sayahati maqamat hain.

Website ke bamujab Hyderabad taizi se janoobi Hindostan ke New York shehar mein tabdeel ho raha hai. Survey ke jawab mein dekha gaya ke bohat saaray afraad ney shehar ki tareef ke sath sayahat ke liye is ki taraf aarahay hain.

Alawa azeen yeh tamam tijarti maqasid aur san-aton ke liye mehfooz aur behtareen maqam hai. Yahan dekhnay ke liye khobsorat maqamat mojood hain.

Yeh pehla mauqa nahi jab mukhtalif tanzeemon ke zareya kiye gaye mukhtalif mutalaat aur Survey mein Hyderabad hindustani shehron ki qayadat kar raha hai balkay JLL City Momentum Index 2020 mein Hyderabad ny duniya ka sab se mutharrak shehar honay ka aizaz bhi haasil kiya hai.

Index jis mein yeh bhi kaha gaya ke Hyderabad hindostan ke sab se taiz raftaar se taraqqi pazeer shehron mein se ek hai aur yeh shehar beron mulk ghair manqola jaedad ke sarmaya karon ki bhi ek khaas dilchaspi ka bhi markaz hai.