Hyderabad

Hyderabad Ki Khasta Haal Imaartoun Ko Munahdim Karne Ki Karwaiyoun Ka Aaghaz

By News Desk Roman Urdu

June 12, 2019

Hyderabad: Mausam barsaat ki aamad ke sath hi awam ko garmi ki shiddat se raahat naseeb hoti hai lekin barsaat mein kuch aur masail awam ko pareshan karte hain jis mein shehar-e-hyderabad mein moujood qadeem aur khasta haal emaratein hain kyunkay barish ki wajah se un imaartoun ke Munahdim honay ke khadshaat ke alawa awam ke liye jani aur maali nuqsaan ka khadsha bhi rehta hai.

Mausam-e-barsaat mein khasta haal imaartoun ke Munahdim honay ke khatraat se nimatnay ke liye GHMC nay apni karwai shuru kar di hai aur hyderabad mein 765 aisi khasta haal imaartoun ki nishandahi ki gayi hai jo ke mosam-e-barsaat mein mein kisi bhi haadsay ki wajah ban sakte hain. guzashta baras bhi 484 khasta haal imaartoun ki nishandahi ki gayi thi jis mein 400 se zayed imaartoun ko Munahdim bhi kar diya gaya tha .

Monsoon action plan ke tehat Hyderabad mein khasta haal imaartoun ki nishandahi karte hue inhen Munahdim karne ki tayario ka nah sirf aaghaz kardiya gaya hai balkay pehlay hi din GHMC nay do  khasta haal imaartoun ko Munahdim bhi kar diya hai jabkay ek khasta haal imarat ko apni tehweel mein bhi le liya hai. mausam barsaat mein khasta haal imaartoun se honay walay nuqsanaat se bachney ke liye GHMC nay jo karwai shuru ki hai iske tehat na sirf khasta haal imaartoun ki nishandahi ki ja rahi hai balkay un imaartoun mein mojood afraad ko counseling ke zariye imaartoun ko khaali karne par amaada bhi kiya ja raha hai, lekin iske bawajood hukkaam ko kayi maqamat par mushkilaat ka saamna karna padh raha hai kyunkay khasta haal imaartoun mein mojood khandanou nay emaratein khaali karne mein taawun karne ke bajaye apne tor par is mein rahaish Pazeer rehne ke tareeqa car bhi ikhtiyar kar rahay hain unhein hukkaam nay counseling ke zariye khatraat se aagah bhi kiya hai.

Alawa azeen khasta haal imaartoun ke malikaan ko Notice bhi jari kar di gayeen taakay woh barish ki aamad se qabal ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue imaartoun ko nah sirf khaali kar dein balkay inhen Munahdim karne mein GHMC ke hukkaam ka taawun bhi karen. GHMC ke hudood mein 765 khasta haal imaartoun ki nishandahi karne ke alawa inhen Munahdim karne ya phir inhen aahak pashi ke zariye behtar bananay ke liye engineering Department se Salah mahswara kiya jaraha hai.

GHMC nay apne mukhtalif zones mein khasta haal imaartoun ki nishandahi ki hai jis mein LB nagar mein do emiratein, Charminar mein 63 emiratein, Khairtabad mein 103 emiratein, Secunderabad mein 56 emaratein aur sri Lingampally mein 18 imaartoun ki nishandahi ki gayi hai. alawa azeen guzashta teen barson ke douran jin khasta haal imaartoun ko Munahdim kiya gaya hai unke adaad wo shumaar batatay hain ke 2016 mein 485 emiratein, 2017 mein 294, emaratein aur 2018 mein 402 imaartoun ko Munahdim kiya gaya hai. is ke alawa rawan baras January taa  haal 382 imaartoun ki nishandahi karte hue inhen Munahdim bhi kiya gaya hai.

Hukkaam ney awam se appeal bhi ki hai ke woh khasta haal imaartoun mein rahaish Pazeer honay ki bajaye unke mutaliq jee isi ko ittila den taakay kisi bhi nagehani waqea ko roka jasakay aur jani aur maali nuqsaan se hifazat ki jasakay. alawa azeen khasta haal imaartoun ke atraaf mein hudood bandi bhi kar di gayi hai taakay teiz barish aur monsoon ki wajah se agar imarat Munahdim hoti hai to is ke atraaf wo aknaaf rehne walay afraad ko jani aur maali nuqsaan se mehfooz rakha ja sakay . –YTN STAFF