Hyderabad selaab

Hyderabad

Hyderabad ke selaab se LB nagar zone sab se ziyada mutasir

By News Desk Roman Urdu

January 05, 2021

Hyderabad: LB nagar zone un ilaqon mein shaamil hai jinhein october hyderabad mein 2020 ke selaab ke douran bohat ziyada nuqsaan hua, Is zone ki kuch maqamat 9 din tak pani mein doobe rahay aur ilaqay ke jheel mein tabdeel hojane ki wajo mushkilaat ka saamna karna padha. alawa azeen shadeed barish ke douran 170 colonies mein bhi selaab ki soorat e haal thi.

GHMC ka LB nagar zone ab mojooda drain net work ko behtar bananay ke alawa storm water drain ke naye net work ki taamer par bhi tawajah day raha hai. Isi munasbat se ohdedaron ne selaab ke pani ki nikasi ke liye naalay ke mojooda network aur dareaye moosa mein pani ke bahao ko behtar bananay ke liye kiye jane walay iqdamaat par ek tafseeli mutalea kiya hai jis mein ziyada nuqwa.

Is mutalea mein fil haal 40,137 meter ka ek bada naali net work hai aur hum ne 33,512 meter ka izafi naali network qaim karne ke mansoobay par amal peda hai. Is ke zareya moosa nadi mein jheelon se pani ke azadana bahao ko yakeeni banana hai. Nagul cheruvu, kamari kanta, bathukama kanta aur keera cherurvu mein pani ke bahao ko behtar bananay ke liye kisi qisam ki koi farahmi nahi hai.

Nagul ilaqay ke tehat ohdedar mojooda nalion ke net work ko dobarah tashkeel dainay ki tajweez kar rahay hain aur ek naya net work qaim kar rahay hain taakay link net work ko moosa nadi mein pani ke bahao ki sahoolat fraham hoham hoham hoham. un mansoobon ke tehat faraham ho.

Un mansooboun ke tehat peddacherurvu se chinna cheruvu chinna cheruvu se bandalaguda cheruvu bandla guda cheruvu se nagul cheruvu se darya musa tak naloun ka network taiyar kiya jaraha hai.