Dubai: IPL ki Points Table mein sab se nichale maqam ki Team Kings Xi Punjab ko Tournament mein barqarar rehne ke liye jumaraat ko Sunrisers Hyderabad ke khilaaf match mein yakeeni jeet darj karni hogi. Punjab ki team 5 Matches mein sirf ek kamyabi aur 4 shikaston ke sath Table mein aathween aur aakhri number par hai. Ek aur shikast se Playoff mein jane ki Punjab ki umedon ko dhaka lag sakta hai. Doosri janib Sunrisers Hyderabad 5 Matches mein 2 fatohat aur 3 shikast ke sath chhatay number par hai. Hyderabad ki sorat-e-haal bhi ziyada achi nahi hai aur is ke liye bhi yeh match jeetna bohat zaroori hai.
Punjab aur Hyderabad dono ko apne pichlle Matches mein shikast ka saamna karna pada tha. Mumbai Indians ne Hyderabad ko 34 runs se shikast di thi jabkay Chennai Super Kings ne Punjab ko 10 Wickets se shikast di thi. Hyderabad ke khilaaf Mumbai ne pichlle match mein 208 runs ka bada Score banaya tha lekin Hyderabad ki Team 7 wickets par 174 runs bana saki. Fast bowler Bhuvneshwar Kumar ke Tournament se baher honay ke baad Hyderabad ki mushkilaat mein izafah huwa hai. Hyderabad ne Andhra Pradesh ke baen haath ke fast bowler Prithvi Raj Yarra ku Bhuvneshwar ki jagah team mein shaamil kiya hai.
Hyderabad ke liye aakhri match mein Captain David Warner ne sab se ziyada Score 60 runs, Jonny Bairstow ne 25 aur Manish Pandey ne 30 runs banaye jabkay Kane Williamson 3 aur Priyam Garg 5 runs banakar out hue aur is nakami ka team ko bada nuqsaan bardasht karna pada. Abhishek Sharma 10 aur Abdul Samad 20 runs banakar out hue. Ek waqt 10 wi Over mein Hyderabad ki team ek wicket par 94 runs bana kar achay muaqqaf mein thi lekin is ke baad un ki Inning taash ke pattoun ki terhan bekhair gayi. Hyderabad ko fatah ki umeed ke liye apni batting ko behtar banana hoga.
Punjab ne apne guzashta muqablay mein Captain KL Rahul ki 63 runs ki shandaar nisf century ki badolat 4 wicket par 178 runs ka mushkil score banaya tha lekin Chennai ne Shane Watson ( not out 83 ) aur Faf du Plessis ( not out 87 ) shandaar nisf century aur un ke darmiyan 181 runs ki iftitahi shiraakat ki badolat yaktarfa tor par 10 wickets se fatihana raftaar haasil ki thi. Agar Punjab ko kamyabi ki raah par wapas aana hai to usay apni bowling aur batting dono ko behtar banana hoga. Team ke paas Chris Gayle ki shakal mein is farmit ka sab se ziyada tabah kun batsman hai lekin team ne ab tak Gayle ko 5 Matches mein mauqa nahi diya hai. Gayle jaisay Batsman ko bench par bethaye rakhnay ka koi faida nahi hai. Jab team ki batting theek nahi chal rahi hai tab team ko Gayle ko kam se kam ek mauqa faraham karna chahiye.
Punjab ke Captain KL Rahul ne kaha hai ke un ki team mansoobon ke mutabiq karkardagi ka muzahira nahi kar rahi hai. Rahul ne kaha ke musalsal kayi match haarna bohat afsoosnaak hai. Hamein behtar tor par wapsi karne ke liye mustaqil koshish karni hogi. Hum kahan ghalti kar rahay hain is ke liye koshish karni hogi yeh koi Rocket Science nahi hai. Hum apne mansoobon ko behtar tareeqay se amli jama pehnanay ke ahal nahi rahay hain. Unhoun ne kaha ke jab aap fi over 7/8 dete hain to phir aap match mein kisi wicket ke liye jarehana rawayya ikhteyaar karsakte hain lekin hum shuru mein hi fi over 10 runs day rahay thay lehaza jarehana hona mushkil hai. Hamaray tamam khiladi bohat pesha war hain aur umeed hai ke hum jald hi wapsi karen ge.