Hyderabad: Hyderabad ke 2 mashhoor Intermediate colleges Sri Chaitanya Junior Kalasala, Saidabad aur Gautam Junior college, RTC Cross Road mein ziyada Tuition Fees wusool karne aur Board of Intermediate Education ( BIE ) ke deegar usoolon ki khilaaf warzi karne ka murtakib paaya gaya hai. Samaji karkun Vijay Gopal ki taraf se Hyderabad ke 2 mashhoor Colleges par khilaaf bachon ke haqooq ke tahaffuz ke qaumi commission ke samnay dair shikayat ke mutabiq yeh colleges nah sirf fees ki vasuli kar rahay thay jo muqarara had se 15 taa 20 guna ziyada hai balkay ghair qanooni course bhi chala rahay hain. Hukkaam ne dono colleges par fi kas 1 lakh rupay jurmana ayed kiya hai.
Taham Vijay Gopal ko lagta hai ke jurmana bohat kam hai. Unhoun ne kaha hai ke mujhe khushi hai ke hukkaam ne un colleges ko dhoond liya hai lekin ab mein insaaf ke husool ke liye adalat jane ka iradah rakhta hon. Qanoon ke mutabiq mazkoorah idaron ki intizamia ko bhi 3 saal qaid ki saza honi chahiye lekin woh is muamlay mein anjaam nahi diya gaya hai.
Yaad rahay ke BIE ke usoolon ke mutabiq colleges ko Commissioner Intermediate Education ke zareya muqarrar kardah Fees jama karni hoti hai, Jo imdadi Junior Colleges ke liye 880 rupay ( First Year ) aur 970 ( Second Year ) aur 1760 ( First Year ) aur 1940 ( Second Year) rupay wusool karna hai aur yeh khangi aur Corporate Junior Colleges ke liye muqarrar kardah Fees hai. Bad qismati se BIE ne izafi fees wapas karne ke liye koi iqdaam nahi uthaya aur nah hi koi ghair qanooni Course band kiya hai ya woh is terhan ki harkato ko roknay ke liye kya kar rahay hain. Unhoun ne mazeed kaha hum bi Board of Intermediate Education BIE ke Commissioner ke khilaaf adalat se rujoo karen ge.