Hyderabad

Hyderabad Ke 154 Sala Qadeem Sultan Bazar Clock Tower Ka Koi Pursan-e-Haal Nahi

By News Desk Roman Urdu

July 20, 2019

Hyderabad: Sultan bazar mein moujood clock tower jo ke Hyderabad mein mojood deegar tamam clock towers se qadeem maana jata hai lekin hukoomat ki Adam tawajah ki wajah se yeh khasta haal hai. Sultan bazaar ka clock tower 1865 mein is waqt ke dawakhana Residency hospital ke qareeb taameer kiya gaya tha. is waqt yeh clock tower government boys school Sultan bazaar mein mojood hai.

School ke principal Shiv Ram prasad ne kaha hai ke yeh clock tower hyderabad mein moujood tamam deegar clock Towers se qadeem maana jata hai lekin hukoomat ki Adam tawajah ki wajah se yeh khasta haal mein moujood hai. kayi baras qabal is ki aahak pashi ki gayi thi aur is mein moujood ghadi ko kar gard banaya gaya tha lekin is ke chand din baad hi clock tower ki ghadi band hogayi, jabkay mousmi halaat se is qadeem aur tareekhi imarat ko jo nuqsaan hua hai is ke baad yeh clock tower apni baqa ki jung ladh raha hai.

Is clock tower ko mousmi halaat khaas karkay barish ke pani se mehfooz rakhnay ka koi koi maqool intizam nahi kiya gaya hai, yahi wajah hai ke barish ke pani ki wajah se clock tower ki ghadi band padhi hui hai. shehar hyderabad mein mein 6 clock tower moujood hain jo ke taqreeban 150  saal qadeem hain.

Un tamam mein Sultan bazaar ka clock tower sab se ziyada hi maana jata hai jis ki taamer 1865 mein hui aur is lehaaz se yeh 154 saal qadeem hai. is ke alawa deegar clock tower seen mein Muazzam jahi market ka clock tower 1935 mein taamer kiya gaya hai jo ke 84 baras qadeem hai. fateh maidan clock tower ki taamer 1903 mein hui hai aur yeh 116 saal qadeem hai. james street ka clock tower 1900 mein taamer kiya gaya jo ke 119 saal qadeem hai. isi tarhan secunderabad ka clock tower 1896 mein taamer kiya gaya tha jo ke 123 saal qadeem hai. mehboob chowk tower 1892 mein taamer kiya gaya jo ke 127 sala qadeem clock tower hai. -YTN STAFF