Hyderabad: Mehakma mosmiyat Hyderabad ne pesh qiyaasi ki hai ke mangal aur charshumbe ko Hyderabad aur Telangana ke deegar azlaa mein shadeed se mosla dhaar barish ka imkaan hai. Ranga Reddy, Medchal, Adilabad, Asifabad, Karimnagar, Siddepet, Warangal, sheheri aur dahahi aur Mehboobabad, Bhuvanagiri, Khammam, Surypet, Nalgonda, aur Nagar Karnool mein barish ki pesh qiyaasi ki gayi hai. Hindostan ke mehakma mosmiyat ( IMD ) ki pesh qiyaasi ki hai ke Telangana ke mukhtalif ilaaqon mein aindah do deno mein shadeed se mosla dhaar barish hogi.
Nashebi ilaqon mein aabi jama honay ka imkaan hai. Aabi zakhair mein pani ki satah khatray ke nishaan tak pounchanay ki bhi tawaqqa hai. Alawa azeen Telangana state development planning society ke adad-o-shumaar ke mutabiq haftay ke roz se itwaar ki subah 8 bajay tak bohat saaray maqamat par taiz barish record hui hai jis mein Suryapet zila mein Trimulgherry mein 163 mile meter barish record ki gayi, Jabkay Medak mein Rajpali mein 148 mili meter barish record ki gayi.
Riyasat Telangana ke dar ul hukumat Greater Hyderabad aur degar elaqon mein bhi mutadid maqamat par bhaari barish hui hai jaisa ke Kokatpally mein hafta ko 60 mile meter barish record ki gayi. Itwaar ke din Charminar mein raat tak sab se ziyada 5.8 mile meter barish record ki gayi.