Hyderabad

Hyderabad Airport par bain ul aqwami musafireen ke liye. Boarding

By News Desk Roman Urdu

October 27, 2020

Hyderabad: Rajiv Gandhi International Airport Hyderabad Hindustan ka aisa pehla Airport ban gaya hai jahan bain ul aqwami parwaazon ke liye boarding sahoolat faraham ki gayi hai. GMR Group ke bamujab yeh sahoolat musafiron ko rawaangi aur apni manzil par pounchanay ke baad dono jagah dastyab rahay gi. GMR Group ke mutabiq Hyderabad Airport ko tamam Domestic musafireen ke liye. Boarding sahoolat muta-arif karne ka pehlay hi aizaz haasil hai.

Markazi hukoomat ki Digital India muhim ke tehat Hyderabad Airport se bain ul aqwami safar karne walon ke liye yeh sahoolat muta-arif karne ka faisla kiya gaya taakay corona ke is bohraan ke douran musafireen ke mehfooz safar yakeeni banaya jasakay. Qabal azeen yeh sahoolat IndiGo Airlines ke makhsoos bain ul aqwami parwaazon mein dastyab thi. Company ke bamujab hukoomat ki ijazat ke husool ke baad. Boarding khidmaat ka aaghaz kiya ja raha hai. IndiGo Airlines ne is sahoolat ka 2 October ko aaghaz kiya tha jab Hyderabad se Sharjah rawana honay walay musafireen ne Boarding ki sahoolat se istifada kiya tha. Deegar bain ul aqwami parwazein jo Hyderabad se rawana hoti hain un mein anqareeb yeh sahoolat muta-arif ki jaye gi. GMR Hyderabad International Airport limited ke CEO Pradeep Panikar ne kaha hai ke Corona waba ki wajah se. Boarding ki sahoolat musafireen ke liye rawaangi mein mazeed aasani peda kere gi aur inhen waba se mehfooz rehne mein mazeed taawun kere gi.