Hyderabad

Hussain Sagar se mutaliq Google Maps mein ki gayi shararat…

By News Desk Roman Urdu

October 20, 2019

Hyderabad : In dinoun firqa-parast anasir jahan musalmanoun ke tareekhi muqamat aur masajid ke naam tabdeel karne aur musalmanoun ki qadeem yadgaroun ko mitane ke liye koshan hain wahein ab online bhi shararat ki jarahi hai. aisey hi ek haerat angaiz waqea mein, hyderabad ke Hussain Sagar jheel ko, Google Maps par kayi dinon tak ”Jai shree raam Sagar “ ke tor par dekhaya gaya tha. Hussain Sagar ko jai shree ram Sagar ke naam se dikhaey jaane par log haerat zada hogaye aur iss cyber ghalti ke khilaaf Twitter ke zariye apne gham wo ghussa ka izhar kiya.

Twitter par ek Sarif ne likha ”Hyderabad ka Hussain Sagar ab jai shree raam Sagar ban gaya hai! mujhe haerat hai. Ek aur Sarif ne tweet kiya ”shar-pasandon ne Google Maps par hyderabad mein waqay ”Hussain sagar ka naam ”Jai shree ram sagar rakh diya. jabkay Hussain Sagar ko Ibrahim quli qutub Shah naay banwaya tha aur yeh 1563 mein taamer kiya gaya tha.

Wazeh hoke isi tarhan ke ek aur waqea mein, Google naqsha jaat ( Maps ) par feb mein hyderabad ke hi salar jung pul ko badal kar ”Chatrapati shivaji pull “ kar diya gaya tha. yahan tak ke pul ke neechay behnay wali nadi ka naam bhi Mocho-conda rakha gaya. jabkay ziyada tar log usay dareaye Musi kehte hain.

Hussain sagar Hyderabad, Telangana ki ek dil ki shakal wali jheel hai, jo 1563 mein ibrahim qulli qutub Shah ne taamer ki thi. iske darmiyan 1992 mein Gautam Budh ka ek bada mujasma nasb kiya gaya tha. –YTN STAFF