Hussain sagar Birds

Hyderabad

Hussain sagar par naqal makani karne walay kayi qisam ke parinday awaami tawajah ka markaz

By News Desk Roman Urdu

February 08, 2021

Hyderabad: Agarche guzishta October ke selab ne shehar Hyderabad may tabahi machai hai aur hazaroun shehriyoun ki zindagi ujeeran ban gayi thi jabke senkdoun khandan be ghar hogaye lekin ye sailaab hussain sagar jaise aaloda jheeloun ke liye ek nemat sabit hua kyunke us ne aabi zakhair ko tamam zahrile kode se pak karne may madad faraham ki hai.

Hussain sagar ki aloodgi mein kami ka pehla ishara mil gaya hai kyunkay ab bohat saaf suthra mahol hone ki waja se naqal makani karne wale parinde bashamole show larza aur gargani chote groups may aate dekhe gaye. Jheel ke chipke paniyoun pur sukun se khelte godte paye gaye.

Parindon aur maholiyaat ke mahireen ke mutabiq naqal makani karne walay parindon ki aamad pani ke miyaar mein behtari ki alamat hai. Yeh dekhna haerat ki baat hai ke naqal makani karne walay parindon ne dobarah Hussain sagar aana shuru kar diya hai. Dakkan birds ke sabiq tajurbah car aur sabiq secretary shafqat ullah ne kaha ye ek achi alamat hai. Parinday sirf un jaghon par jatay hain jahan pani ki uthli satah ke alawa khoraak (aabi zindagi) waafar miqdaar mein dastyab hoti hai.

Unhon ne kaha mazeed kaha ke unke aaloda honay se pehlay hussain sagar, himayat sagar, Osman sagar, fox lake aur ameeen poor jheel naqal makani ke liye ek panah gaah thi mausam sarma ke douran parindon ke liye yeh aasani se qab parindon ke khoal 2000 ki dahai se pehlay bohat hotay thay.

Andhra pradesh mein wast. sarma water bird mardum shumari ke naam se ek report ke mutabiq 1987 se 1996 ke darmiyan, Hussain sagar mein 30 se zayed aqsam ke parinday mojood thay, jin Mein se kuch rehaishi thay aur baqi mausam sarma mein hazadon kausha tahy mein thay hyderabad birding plus ke ek parindoun ke jee Rajiv ne kaha ab jheel par water birds ki teen se ziyada aqsam ko talaash karna mushkil hai.

Jab bhi hum wahan jatay hain to hum sirf aam noiyat ke parinde aur baaz auqaat ek aadh dosra parindah dekhte hain. Telangana reyasti aloodgi control board (TSPCB) ke zareya dastyab adaad wo shumaar se yeh bhi pata chalta hai ke manson ke baad jheel ke pani ke miyaar mein mamooli behtari waqay hui hai.

Pani ke miyaar ko mukhtalif paimaanoun ka istemaal karte hue andaza kiya gaya hai ke jab shehar ke muzafaat mein waqay kuch jheeloun ke muqablay mein, Hussain sagar guzashta monsoon ke baad se bohat behtar hua hai. Shehar Hyderabad 185 jheelon par mushtamil hai lekin ziyada tar parindon ne pichle 2 saloun mein is shehar ko chodh diya hai. Unhon ne shehar ke bahar waqay meethay pani ke zakhair ka intikhab kya jaisay himayat sagar, Osman sagar, Ameeen pur jheel aur fox lake unki pehli pasand hai.