Pakistan Tehreek e Insaaf, Qaumi Assembly ki 119 nashistain jeetnay ke baad sab se badi jamaat ban gayi lekin hukoomat bananay ke liye usay 137 nashistain darkaar hain. Imran Khan Qaumi Assembly ki 5 nashiston par kamyaab hue aur inhen 4 nashistain chhodna hon gi, isi terha Ghulam Surwar Khan 2 nashiston par jeete hain aur inhen bhi aik nashist chhodna hogi, yun Tehreek e Insaaf ki Qaumi Assembly ki 119 mein se 5 nashistain kam ho kar 114 reh jayen gi. Saada aksariyat aur mazboot hukoomat ke qiyam ke liye Tehreek e Insaaf ko azad umeedwaron aur deegar hum khayaal siyasi jamaaton se ittehaad ki zaroorat hogi jabkay jeetnay walay azad umeedwaron ki tadaad 15 hai taham hum khayaal jamaaton mein Grand Democratic Alliance ke paas 2, Awaami Muslim League aik, Pakistan Muslim League (Q) 4, Balochistan Awaami Party aik aur MQM ke paas 8 nashistain hain. Azad umeedwaar 3 din mein kisi bhi siyasi jamaat mein shaamil honay ka faisla kar sakte hain, is terha Tehreek e Insaaf aur azad umeedwaron samait tamam itihadiyon ki tadaad 145 banti hai jo saada aksariyat se ziyada hai. Doosri janib Pakistan Muslim League (N) ney Qaumi Assembly mein ab tak 63, Pakistan Peoples Party ney 40, mMtahidda Majlis e Amal ney 12, Awaami National Party ney aik aur Balochistan National Party Mengal ney 4 nashistain haasil ki hain, is terha oppostion jamaaton ki majmoi nashiston ki tadaad 120 banti hai.