Slider

Hukoomat ne Peer ki aadhi raat se Bus kirayoun mein izafay ka kiya faisla

By News Desk Roman Urdu

December 02, 2019

Hyderabad : Reyasti hukoomat ne Peer ki aadhi raat se riyasat bhar mein RTC Bus kirayon mein izafay ka faisla kiya hai. shehar mein, ordinary Bus mein kam se kam kiraya 5 Rupay se badha kar 10 Rupay kar diya gaya hai. naye Bus ke kiraye, express mein 15 rupaye. super luxury mein 25 Rupay aur Garuda and AC sleeper  buses mein 35 Rupay honge. city buses mein metro express ka kam se kam kiraya 10 Rupay rakha gaya hai aur ziyada se ziyada kiraya 30 se badha kar 35 Rupay kar diya gaya hai. Deluxe buses mein kam se kam kiraya ek hi hoga aur ziyada se ziyada kiraya 30 Rupay se badha kar 40 Rupay kar diya gaya hai.

Isi tarhan ordinary Bus paas ki raqam ko 770 Rupay se badha kar 950 rupaye, metro express Bus paas ko 880 Rupay se badha kar 1070 Rupay aur metro deluxe paas ko 990 Rupay se barha kar 1185 Rupay kar diya gaya hai. 24 ghantay ke Bus paas ki qeemat 80 Rupay se badha kar 100 Rupay ki gayi hai.

Ittila ke mutabiq, TSRTC ke ohdedaron ne tamam intizamaa kar liye hain aur conductors, driveron ko Hidayat ki hai ke wo 2 decemeber ki aadhi raat se izafah shuda naye karaye vasool karen. hukoomat ne fee kilo meter 20 paise izafah karne ki ohdedaron ko Hidayat ki hai aur se hukoomat ko mazeed 750 crore Rupay mileinge. –YTN STAFF