India

Hukoomat Ne Oppostion Ko Andhere Mein Rakh Kar Bill Manzoor Karwaliya : Ghulam Nabi Azad

By News Desk Roman Urdu

July 31, 2019

New Delhi : Opposition leader Ghulam Nabi Azad ne chaharshambeh ko hukoomat par ilzaam lagaya ke sarkar ne oppostion ko andheray mein rakha. unhon ne kaha ke ittila ka haq aur Teen Talaq bill ko select committee ko bhejnay ke masla par hukoomat ke sath baat cheet hui thi, lekin hukoomat ne bharoosay mein liye baghair hi un bills ko paas kara diya.

Aewaan mein opposition ke leader Ghulam Nabi Azad ne kaha ke hukoomat ne sabhi opposition partiyon ke leadron ke sath 23 bills ke baare mein baat cheet ki thi aur yeh poocha tha ke woh kin bills ko select committee ko bhejna chahtay hain. oppostion ne kaha tha ke in mein se kam az kam aadhey bill select committee ko bheje janey chahiye.

Is par hukoomat ne kuch aitraaz kiya zahir kiya to opposition ne usay 6 bills ko tarjeeh dainay ki bunyaad par select committee mein bhejnay aur do ko doosri tarjeeh mein rakhnay ki baat kahi thi. unhon ne kaha ke hukoomat ne is waqt opposition se kaha tha ke woh un 8 bills ke baare mein jald hi inhen mutala karayegi. lekin hukoomat ne oppostion ko koyi ittila nahi di. aur oppostion ko aagah kiye baghair hi bills ko paas kara liya. yeh hukoomat ka ghair munasib rawayya hai.

Wazeh ho ke mangal ko Rajya sabha mein teen Talaq bil ko 99 votoun ke sath Manzoor karaliya. herat ki baat yeh hai ke voting ke waqt congress ke kuch arkaan ghair haazir they. teen Talaq bill ki Manzoor ko BJP ki zair-e-qayadat hukoomat ke liye ek badi kamyabi qarar diya ja raha hai, jis ke paas ab bhi yawan baala mein aksariyat nahi hai. –YTN STAFF