Hyderabad : Riyasat Telangana ki hukoomat ne guzishta roz Ameerpet Metro Station par pesh aanay walay haadsa ke baare mein sanjeedgi se ghour kiya hai. HMRL ke Managing Director NVS reddy ne kaha ke ” Municipal Administration & Urban Development KT Rama Rao ne inhen hidaayat di hai ke Engineering mahireen se is maamla ki tehqiqaat karwane aur zurori iqdamaat karen.
Unhon ne zor day kar kaha ke yeh haadsa ek aam haadsa hai lekin is ko sanjidgi se lene ki zaroorat hai aur sabhi station ke dhanchon aur sahulaton ka baghou jaiza lena hoga, taakay is tarhan ke waqeat dobarah runuma nah hon. unhon ne is azm ka iada kiya ke Hyderabad Metro mein aala miyaar aur hifazat ka khayaal rakha jayega.
MD ne kaha ke wazeer KTR ne L&T ko mutasirah ke kumba ko munasib muawza dainay ki hidaayat diya hai. iske mutabiq. L&T intizamia ne is kumba ke afraad se baat ki hai aur is haadsa mein halaak honay wali khatoon Monika ke ahal-e-khanah ko 20 laakh rupaye muawza ada karne ke muahiday par dastakhat kiye hain. is muahiday ke mutabiq muawza ke sath sath monika ke kumba ke ek fard ko mulazmat bhi di jayegi. –YTN STAFF