India

Hukoomat ka maqsad aglay 5 saaloun mein 100 feesad khawandgi haasil karna hai : Jagan Reddy

By News Desk Roman Urdu

September 05, 2019

Hyderabad : Andhra Pradesh ke wazeer-e-aala Y S Jagan Mohan Reddy ne jumerat ko kaha ke hukoomat riyasat mein aglay 5 saloun mein 100 feesad khawandgi haasil karne ka iradah rakhti hai.

Vijaywada mein youm-e-Asateza ke mauqa par munaqidah ek  taqreeb se khitaab karte hue unhon ne sarkari schoolon ko mazboot bananay aur dakhla ki sharah ko behtar bananay ke zareya taleemi nizaam mein badey paemanay par tabdeelian laane ki baat kahi.

Wazeer-e-aala ne kaha ke unki hukoomat taleem ke miyaar ko behtar bananay ke liye bohat saari schemes shuru ki hain. Asateza ki fa-aal shirkat se hi maqsad haasil kiya jasakta hai.

Unhon ne kaha ke ” Amma Vodia’, fees ki adaigi ke maavzon ke liye aur hostel ke liye salana 20,000 rupaye ki adaigi aur hukoomat ki taraf se indraaj ki hosla afzai ke liye iqdamaat kiye gaye hain.

Jagan Reddy  ne kaha ke 3 saloun mein sarkari zair-e-intizam schoolon ke infrastructure ko behtar banaya jayega. hukoomat Tazaeen-o-Araish se pehlay aur baad mein schoolon ki ek taqabli tasweer awam ko batayegi. –YTN STAFF