Hyderabad : Hyderabad mein Metro rail musafireen ko jis rastay par is rail khidmaat ka bohat dinoun se intezaar tha ab woh intezaar jald khatam honay wala hai, kyunkay Ameerpet taa HITEC City ke rastay par metro rail khidmaat ka anqareeb aaghaz honay wala hai lekin is ki iftitahi taqreeb ek aam nouiyat ki taqreeb hogi kyunkay intikhabaat ki wajah se election commission ney zabita-e-ikhlaq nafiz kardiya hai.
Metro rail safety ke commissionaire ney kaha hai ke HITEC City taa Ameerpet ke rastay par metro rail khidmaat ka aaghaz ke liye tamam tar tayyariyan mukammal kar li gayi hain aur is 10 kilometer ke rastay par aindah chand dinoun mein metro rail khidmaat ka aaghaz ho jaye ga.
Umeed ki jarahi hai ke Hitec City se agay hotel Trident tak bhi metro rail khidmaat ko anqareeb shuru kya jaye ga. Ek aam nouiyat ki taqreeb ke baad is rastay par khidmaat ko shuru karne ke alawa usay twin single line nizaam ki tarz par faraham kiya jaye ga.
Is ka matlab yeh hoga ke railway khidmaat do mukhtalif aur alag lines ke zariye shuru ki jayengi jis ka faida yeh hoga ke train single line par anay jaaney ke qabil rahegi