Slider

Hindustani Team ka Test Series mein bhi safaya

By News Desk Roman Urdu

March 02, 2020

Christchurch: Hindustani cricket team jis ne dora New Zealand ka aalmi record ke sath aaghaz kiya tha usay Test series mein sharamnaak shikast ke sath dora ka ekhtataam karna pada hai. Christchurch mein khailay gaye dosray aur aakhri Test Match mein maizban New Zealand ne dhai din mein Hindustan ko 7 wickets ke baday farq se shikast day kar Test series mein clean Sweep karliya. Wellington mein bhi New Zealand ne Hindustan ko 10 wickets ke baday farq se shikast di thi. Is shikast ke sath hi hindustani team ne bohat saaray asbaq ke sath apne taweel safar doray New Zealand ka ekhtataam karliya.

Virat Kohli ki qayadat mein Hindustani Team ne 5 Matches ki T20 series mein maizban Team ko shikast day kar apne is doray ka aaghaz kiya tha lekin is ke baad 3 Matches ki One day series mein New Zealand ne maheman team ko 3-0 shikast day di aur ab 2 Test Matches ki series mein clean Sweep bhi kiya hai. Is Match mein fatah ke sath New Zealand 180 nishanaat ke sath ICC Test Championship mein teesray number par agaya hai. Apni izzat bachanay ke liye hindustani team ke paas Christchurch Test ka aakhri mauqa tha lekin ek martaba phir hindustani team apni kamzoriyoun par qapu pane mein nakaam huvi aur maizban team ko jeet ke liye sirf 132 Runs ka nishana diya.

New Zealand ne 3 Wickets ganwaa kar matlooba nishana aasani se haasil karliya. Team ne pehli Inning mein 242 Runs banaye thay, Jis ke baad Hindustani Bowlers ne New Zealand team ko pehli Inning 235 mein Runs par All Out kardiya lekin hindustani Batsman’s ne apne hi Bowlers ki sakht mehnat ku zahe kardiya aur doosri Inning mein team sirf 124 Runs par All Out hogayi aur maizban Team ke samnay aasan hadaf rakha. Doosri Inning mein, Tom Latham ne 52, Tom Blundell  ne 55 Runs aur Kane Williams ne 5 Runs banaye. New Zealand ki pehli Inning 235 runs par roknay mein kamyaab honay wali hindustani team ne dosray hi din apni doosri Inning mein 90 Runs par 6 Wickets ganwaa den. Ek martaba Hindustan par Top order mukammal tor par nakaam huva.

Cheteshwar Pujara ne doosri Inning mein sab se ziyada 24 Runs banaye. Taham, Ek waqt mein sab ko Hanuma Vihari aur Rishabh Pant se tawaquaat then jo dosray din kuch behtar muzahira nahi kar paye. Teesray din dono ne Hindustani Inning ko 90 runs se agay badha kar din ka khail shuru kiya lekin sirf 47 minute mein hi team All Out hogayi. 97 runs par Hindustan ko din ka pehla dhaka Hanuma Vihari ki shakal mein laga. Is ke baad 97 Runs par hi Pant Out huve. Taham is ke baad Ravindra Jadeja, Mohammad Shami aur Jasprit Bumrah ke sath mil kar Innings ko 124 runs tak pohanchaya.

Jadeja 16 runs bana kar not out rahay. Hanuma Vihari

ne 9 aur Pant ne 4 runs banaye. New Zealand ke liye Boult ne 4 aur Tim Southee ne 3 wickten len. New Zealand ki doosri Inning mein Jasprit Bumrah ne maizban New Zealand ko pareshan kiya lekin team match ko nahi baja saki kyun ke hadaf bada nahi tha. Umesh Yadav ne Latham aur Blundell ke mabain pehli wicket ke liye 100 Runs ki badi shiraakat toad di. Yadav ne Latham ko Pant ke hathoun 52 runs par out kiya. Is ke baad Bumrah ne New Zealand ke captain Kane Williamson ko 5 run bananay ke baad Ajinkya Rahane ke hathoun Out karwa diya aur is ke baad Tom Blundell ko 55 ke score par Bumrah ne bold kiya aur New Zealand ko teesra jhuka laga. Bumrah ki umdah bowling ke bawajood Hindustan Match nahi bacha saka lekin ek badi shikast se bach gaya. –YTN STAFF